Wednesday, July 14, 2010

Ye dhamake, ye katal-aam kab tak honge?
Mehfooz her shehar main Insaan kab tak honge?

Gujrat kabhi, kabhi Maharashtra, Kabhi Utter Pradesh,
Sangeeno ke saye main, Insaan kab tak honge?

Shaitani junoon ne baksha nahi kisii ko dekho
Ibadatgahon main khoon ke, nishaan kab tak honge?

Chitadon ki shakkal main be-kasoor Insaan ud raha hai,
Khoon-kharabe ke ye manzar yu sare-aam kab tak honge?

Ye humdardi, ye mua-avjhon se kya hasil hoga
Jaathi-dharam ke naam log, kurbaan kab tak honge?

Kyu nahi aakhirpass hamare jawab iska,
Hum aman ki bahali main, na-kaam kab tak honge?

Her din kauf, her din dehshath ke hai saaye
Chain-o-sukhoon bare, subah-shaam kab tak honge?

No comments:

Post a Comment