Sunday, July 25, 2010

*Na Jaane*

Naa jaane kyu ye khayal aata hai..

Tumhara hamara jeevan bhar ka sath nahi..

Jeevan bhar ki kya tamnna kare..

Hamare hisse mein to kuch palon ki mulakat bi nahi.

*Ab Yak*

Ab tak hai tera mann hi mann muskurana yaad
Ab teri kasam kuch bhi nahi iske siva yaad

Na unki jafa yaad na apni hi khata yaad
Hai nazer ka us chashme se takra ke aana yaad

*Tumare Naam*

Tumare naam ka aansoo bahana aziz tha
Her dard teri judayi se kam na tha
Her beeti pal teri yaad dilata raha
Yeh kaise pyar hai jo judayi de gaya

*Rehne Do Tanha Hame*

Ab na muskurayenge hum teri dunia main sanam
Rehne do tanha hame itna hi kar do karam

Shabbe furkat mein chandni aitbar kar rahi hai,
Chashme ter na ho falak dekh ke tera sitam

Kijaa mein doobkar baharon ki fizayein royi
Aashiyan jalte hi dil ko mila ranj-o-aalam.

Humpe mohabbat ke katron ka na dalo tum kafan
Zindagi udte hi tum tod do apni kasam.

Maine chaha tha tere waste luta du dunia
Woh shikayat na rahi chod do mera bram

Tere pyar se mere dil ko mila hai ye sila
Aur na intezar karo verna khuda ko bi ho gam
tearyeyed

Saturday, July 24, 2010

*Doondta Tha*

Doondta tha kabhi jo mujhe her waqt
Aankhein wo aaj mujhse bachakar chala gaya

Mangta tha sahara jo her dam mujhse
Besahara mujhe vo banakar chala gaya

*Bin Tere*

Kehta tha Bin tumhare jiya nahi jaye
Ho agar baat sach toh ye wada raha
Teri khatir mai lungi dubara janam
Hai dua ye hai ki jahan raho salamat raho

*Wo Pakad Ke Haat*

Wo pakad ke haat mera bole
Khat ka tukda hota toh choom leta mai
Koyi aaftab mere pehlu mein leta hota
Chand ka mukda hota toh choom leta mai..