Thursday, July 22, 2010

Dard-E_Zindagi

Sab kuch luta ker khali kar diya aaj diwane ko
Magar abhi bi chain nahi hai is zalim zamane ko
Jo mere lahoo ke katron per bi nazer zamaye hai
Apne ghar ki sunhari rangoli sajane ko..

Kaat dala mere armanon ko kisi kasayi ki mafik
Khud hi dikhayi raah "Ye Kaja" khud hi aaye hai bachane ko
Lootne ke baad sab mera kehte ab bi karz baki hai..
Ab jaan hi bachi hai pass mere baki ka karz chukane ko..

Diye jo zhakam mil ker sabne vo bahut gehre hai
Bas mere dost hi bache hai firti hu jinhe dikhane ko..
Aaj mere dard ki kahani hai yaron sab ki jubaan per
Pass mere kuch aur bacha nahi aapko sunane ko..

Tokkar aur tabahi hi mili hame her raah per yaaron
Jab bi utaye kadam humne apna bhagya aajmane ko
Pata na chala kab aa gaya mere jeeven mein ye dard ka samandar
Jab ki humne to kabhi chua bi na tha kisi dard ke peimane ko..

Ab hame na ghar na gharwalon se hai koyi lagaav yaaron
Rehna chahti hu tanha aankhon se apni ashq bahane ko
Mai jahan bi baiti hu tikti hai sab ki nazre vohi per
Jaise mai saat liye firti hu kisi bade khazane ko..

Jism per her jagah hai ghaav diya hua is zamane ka
Ab bachi nahi baaki ek jagah suyii bi chubane ko
Mere chehre ki taraf dekho dekhegi dard ka kaali ghataye
Is me kuch bi nahi aisa jo firu sabko mai lubane ko..

Kuch pal ki zindagi bachi hai jee rahi hu bin sahare
Verna hum to kab se baite hai ye zalim dunia hi chod jaane ko




(Kaja = Maut)

No comments:

Post a Comment