Saturday, July 24, 2010

*Jawab Milega?*

Rishte hai pak magar, dilon main dhuriyan kyu hai?
Rehkar kareeb, juban pe majburiya kyu hai?

Hum-humdam bane ek zamana ho gaya
Magar, ab lafzon main chingariyan kyu hai

Sahil ke bigair adhura hai samandar bi
Pyase hai kinare, sooka-sooka sa dariya kyu hai?

Kabhi betab thi nigahe didar-e-pyar ke liye
Aaj nafraton main badla aapka nazariyan kyu hai?

Tanhayi ki aag main jal raha jajbaton ka janaza
Abhi lamba hai safar "Roja", raaston main kante kyu hai

No comments:

Post a Comment