Wednesday, June 3, 2009

Sabab Rootne Ka

Sabab rootne ka bata kar to jate
Hame bhi zara aajmakar to jate

Fazaon ne poocha kayi bar tum ko
Jalak bas zara si dikha kar to jate

Muskura rahi thi chaman main bahare
Mohabbat ke nagme sunakar to jaate

Diya dard-dil koyi shikwa nahi hai
Pata charagar ka bata kar to jate

Agar besabab thi hamari shikayat
Zara aankh hum se mila kar to jate

Zara aur rukte to hoti enayat
Janaja hamara uta kar to jate

Mita hi diya jab "Roja" ko tumne
To uski chita bhyi jala kar to jate




(sabab : Karan, Faza : Watavaran, besabab = bina karan
Inayat = krupa)

Shabdh Jhoote Hai

शब्द झूठे है सभी सत्या कथाओं की तरह
वक़्त बेशर्म है वेश्या की अदाओं की तरह

जाने वो किसका था साया की जिसे छूने को,
हम भटकते रहे आवारा हवाओं की तरह

प्यार के वास्ते प्यासा है ये दिल सदियों से
अब तो बरसो कोई सावन की घटाओ की तरह

हर अंधेरे से सुबह बन के गुज़र ज़ाऊगी
तेरा हाथ जो रहे सर पर दुआओं की तरह

आज पलकों में मुझे ख्वाब बनाकर रख लो सनम
कल मै खो जौंगी, गुमनाम गुफ़ाओं की तरह

मुझको सुलझाने में तुम ख़ुद ही उलझ जाओगे
ज़िंदगी है मेरी साधु की जाताओं की तरह

जी हां .. "रोज़ा" में बहुत दोष है लेकिन फिर भी
माफ़ कर दो उसे बच्चों की खताओं की तरह[/size]


Shabd jhute hai sabhi satya kathawon ki tarah
Waqt beshrm hai veshya ki adawon ki tarah

Jane wo kiska tha saya ki jise chune ko,
Hum bhatakte rahe aawara hawawon ki tarah

Pyar ke wasthe pyasa hai yeh dil sadiyon se
Ab to barso koyi sawan ki ghatao ki tarah

Her andhere se subah ban ke guzar JaaU.gii
Tera haat jo rahe ser per duawon ki tarah

Aaj palkon mein mujhe khwaab banakar rakh lo sanam
Kal mai kho jaungi, gumnam gufawon ki tarah

Mujhko suljane mein tum khud hi ulajh jaoge
Zindagi hai meri sadhu ki jatawon ki tarah

Ji haan "Roja" main bahut dosh hai lekin fir bi
Maaf kar do use bachchon ki khatawon ki tarah

Toofan Main...

Toofan main kashti ko kabhi kinara na mila
Aadmi ko aadmi ka sahara na mila

Kaisa ye naya daur aagaya hai ki jisme
Mohabbat - bara koyi ishara na mila

Maa-baap ki kidmat ab kwaab bann gayi
Srawan-sa koyi aankh ka tara na mila

Her taraf dukh hai, takqlif hai, mayusi hai
Khushiyon bara kyu koyi nazara na mila

Wo dikhe to dunia ke liye khushi mai mangu
Aasma.n se koyi toota sitara na mila

Apni-apni akad main her koyi hai dekho
Sab vijaita kehte hai... koyi haara na mila

Tokkar Khaker ...

Tokkar khaker sambal na paya
Khud ko apne badal na paya

Dekh haal woh kaise rota hai
Pattar tha jo pigal na paya

Fisal gaya jajbaat main yu hi
Dil toh dil hai sambal na paya

Beech raah main chod gaya woh
Saath do kadam chal na paya

Kaash..!! kahi ab jal jaye
Woh chiraag jo jal na paya

Hum Kabhi....

Hum kabhi kisii ki bhool ke bhi
Cheena muskan nahi karte
Hum sakht-tabiyat hai lekin
Bin bath tufan nahi karte..!!

Hum andkaar main reh sakte
Uski tokkar bhi seh sakte
Per kiranraaj ke dhar per jaa
Hum manga daan nahi karte..!!

Jo pyar se koyee vish bhi de
Hum haste-haste pee jate
Per daya-daan main mila hua
Hum amrit paan nahi karte..!!

Auron ki bath nahi kehte
Hum apni baat batate hai
Apna apmaan nahi sehte
Apmaan auron ka bhi nahi karte..!!

"Roja" ka dil jahan mil jaye
Pehchan usee se kar lete
Jis.se dil nahi mile apna
Usse pehchan nahi karte..!!

Hisaab Hai Mere Pass..

Hisaab Hai Mere Pass...

Apni tanhayi ka jawab hai pass mere
Tum nahi gam nahi.. Yaad teri hai pass mere

Koyi kitni bhi chaal chale hai manjur mujhe
Herkaton ko samajne ki kitaab hai pass mere

Mera hi zulm gin-gin ke na bata zamane ko
Tere bhi gunahon ka hisaab hai pass mere

Na jaan payega koyi meri fitrath ko
Chup-chup ke waar karne ka nakaab hai pass mere

Ab Na Muskurayenge Hum

Ab na muskurayenge hum teri dunia main sanam
Rehne do tanha hame itna hi kar do karam

Shabbe furkat mein chandni aitbar kar rahi hai,
Chashme ter na ho falak dekh ke tera sitam

Kijaa mein doobkar baharon ki fizayein royi
Aashiyan jalte hi dil ko mila ranj-o-aalam.

Humpe mohabbat ke katron ka na dalo tum kafan
Zindagi udte hi tum tod do apni kasam.

Maine chaha tha tere waste luta du dunia
Woh shikayat na rahi chod do mera bram

Tere pyar se mere dil ko mila hai ye sila
Aur na intezar karo verna khuda ko bi ho gam

Tumhe Ruswa Karke

Tumhe ruswa karke hai khud ruswa hona,
Behtar yahi hai mai chod du ye dunia.

Shabbe ruth ki furkat hai meri judayi ki dushman
Kash seene mein mohabbat ke woh tasavvur na hote.

Tanhayi ki gudan mein yeh dil bekarar karke
Mitane apni hasti ko hum majbur na hote.

Kaleje ka pani hai jalti sisakti nigahon main
Tadapte hai arma.n mere dekh sunsaan rahein.

Bhayanak andheron mein koyi ab pukare na mujhko
Veerano ke gheron main jane jaha.n se kahan hu.

Fithrat ke aaghosh apni le jagadthi jawani
Haiy zindagi ka katil mai kahan se kahan hu.

Dehshat ki tarannum fir ajal baj rahi hai
Betab dil ki dhadkan mera gam na dekhe.

Chali ruh kaza ko ab milne ko
Jaan-e-man tera chehre ko kabhi hum ne dekhe

Tumhe ruswa karke hai khud ruswa hona
Behtar yahi hai Mai Chod Du Ye Dunia.