Kehte hai ki kuch log aise hote hai
Jinme samaj seva ka jajba hota hai
Desh ke liye kuch bi kar guzarne ki lalsa
Jan Sevakon ko Raajneeti mein kheench laati hai
Vastav mein rajneeti mein chalang laganewale
Kuch hi dino mein Andha-dhund dhan bhatorte hai
Adhikter aise sevak hai jinko raajneeti sirf dhanda hai
Bina poonji lagaye raaton-raat mala-maal ho jate hai
Sansad mein aate hai apni Paanch-Saat pidiyon ki suraksha karlete hai
Jaise ki unke haat koyi jaadu ki chadi lag gayi hai
In jan-sevak mantri bante hi inki dunia badalte dikhayi deti hai
Her ek mantri yahi samajta ki desh ki sampati per uska hi adhikar hai
Janta bechara bhale hi badhali mein din guzare
Per in mantriyon ko rajawon jaisi suvida chahiye
Jensevakon ke taat-baat dekhkar toh raja-maharaza bhi sharminda ho jaye
Per in besharamon ko sharm hi nahi aati hai
In netawon ko kaun samjaye ke yeh us mulk ki niwasi hai
Jahan per thees pratishat aabadi garibi rekha se bi neeche hai
Hamara desh mein aise log hai
Jo badil mushkil se 100 rupaiya prati din kama paate hai
Ab aap hi batao kaun in mantriyon ko jagaye Ke
Yeh Jan-pratinidhi hai,Jan-sevak hai
Kaise jagaye inhe?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment