Sunday, July 25, 2010

*Na Jaane*

Naa jaane kyu ye khayal aata hai..

Tumhara hamara jeevan bhar ka sath nahi..

Jeevan bhar ki kya tamnna kare..

Hamare hisse mein to kuch palon ki mulakat bi nahi.

*Ab Yak*

Ab tak hai tera mann hi mann muskurana yaad
Ab teri kasam kuch bhi nahi iske siva yaad

Na unki jafa yaad na apni hi khata yaad
Hai nazer ka us chashme se takra ke aana yaad

*Tumare Naam*

Tumare naam ka aansoo bahana aziz tha
Her dard teri judayi se kam na tha
Her beeti pal teri yaad dilata raha
Yeh kaise pyar hai jo judayi de gaya

*Rehne Do Tanha Hame*

Ab na muskurayenge hum teri dunia main sanam
Rehne do tanha hame itna hi kar do karam

Shabbe furkat mein chandni aitbar kar rahi hai,
Chashme ter na ho falak dekh ke tera sitam

Kijaa mein doobkar baharon ki fizayein royi
Aashiyan jalte hi dil ko mila ranj-o-aalam.

Humpe mohabbat ke katron ka na dalo tum kafan
Zindagi udte hi tum tod do apni kasam.

Maine chaha tha tere waste luta du dunia
Woh shikayat na rahi chod do mera bram

Tere pyar se mere dil ko mila hai ye sila
Aur na intezar karo verna khuda ko bi ho gam
tearyeyed

Saturday, July 24, 2010

*Doondta Tha*

Doondta tha kabhi jo mujhe her waqt
Aankhein wo aaj mujhse bachakar chala gaya

Mangta tha sahara jo her dam mujhse
Besahara mujhe vo banakar chala gaya

*Bin Tere*

Kehta tha Bin tumhare jiya nahi jaye
Ho agar baat sach toh ye wada raha
Teri khatir mai lungi dubara janam
Hai dua ye hai ki jahan raho salamat raho

*Wo Pakad Ke Haat*

Wo pakad ke haat mera bole
Khat ka tukda hota toh choom leta mai
Koyi aaftab mere pehlu mein leta hota
Chand ka mukda hota toh choom leta mai..

*Jawab Milega?*

Rishte hai pak magar, dilon main dhuriyan kyu hai?
Rehkar kareeb, juban pe majburiya kyu hai?

Hum-humdam bane ek zamana ho gaya
Magar, ab lafzon main chingariyan kyu hai

Sahil ke bigair adhura hai samandar bi
Pyase hai kinare, sooka-sooka sa dariya kyu hai?

Kabhi betab thi nigahe didar-e-pyar ke liye
Aaj nafraton main badla aapka nazariyan kyu hai?

Tanhayi ki aag main jal raha jajbaton ka janaza
Abhi lamba hai safar "Roja", raaston main kante kyu hai

*Bhool Na Jaana*

Jab Jab dil se tum hame awaaz lagaoge
Tab tab tum hame apni nazron ke samne paoge
Khuda na kare kabhi der ho jaye hame aane mein
Kahi khwaab samajkar hame bhool to na jaoge?

*..Na Jaane..*

Na jaane kaise aasmaan per chamakte hai taare
Jane kyu log mohabbat karte hai saare
Hum to ho chuke the dil-o-jaan se unke
Kya kami thi hamari wafa mein jo wo na huye hamare?

Friday, July 23, 2010

*Dard Hi Dard*

Marungi mai zamane ki khatir per ilzam na karungi kisi per
Bas likhkar ber jaungi mai kisi bi bahane ko..

Maut jab meri hogi to aise hogi zamane walon
Gair to gair, apne bhi karenge inkaar chehra pehchanne ko
Milega bhi to kuch ek hissa tumhe mere jism ka
Dhoond na paoge bhaki jism rasm ke mutabik dafnane ko

Jab kabhi dekhoge meri kisi azeez cheez ko
To tumhara dil dohrayega us baate zamane ko
Yaad karoge ro-o-ge tum mere naam le lekar
Per mai dekhne se kaasir rahungi is manjhar suhane ko
Ye Khuda "Roja" ne na maangi aaj talak tujhse per ab mangu
Di jinhone maut aaye vo laash meri per kafan chadane ko..!!

Thursday, July 22, 2010

Dard-E_Zindagi

Sab kuch luta ker khali kar diya aaj diwane ko
Magar abhi bi chain nahi hai is zalim zamane ko
Jo mere lahoo ke katron per bi nazer zamaye hai
Apne ghar ki sunhari rangoli sajane ko..

Kaat dala mere armanon ko kisi kasayi ki mafik
Khud hi dikhayi raah "Ye Kaja" khud hi aaye hai bachane ko
Lootne ke baad sab mera kehte ab bi karz baki hai..
Ab jaan hi bachi hai pass mere baki ka karz chukane ko..

Diye jo zhakam mil ker sabne vo bahut gehre hai
Bas mere dost hi bache hai firti hu jinhe dikhane ko..
Aaj mere dard ki kahani hai yaron sab ki jubaan per
Pass mere kuch aur bacha nahi aapko sunane ko..

Tokkar aur tabahi hi mili hame her raah per yaaron
Jab bi utaye kadam humne apna bhagya aajmane ko
Pata na chala kab aa gaya mere jeeven mein ye dard ka samandar
Jab ki humne to kabhi chua bi na tha kisi dard ke peimane ko..

Ab hame na ghar na gharwalon se hai koyi lagaav yaaron
Rehna chahti hu tanha aankhon se apni ashq bahane ko
Mai jahan bi baiti hu tikti hai sab ki nazre vohi per
Jaise mai saat liye firti hu kisi bade khazane ko..

Jism per her jagah hai ghaav diya hua is zamane ka
Ab bachi nahi baaki ek jagah suyii bi chubane ko
Mere chehre ki taraf dekho dekhegi dard ka kaali ghataye
Is me kuch bi nahi aisa jo firu sabko mai lubane ko..

Kuch pal ki zindagi bachi hai jee rahi hu bin sahare
Verna hum to kab se baite hai ye zalim dunia hi chod jaane ko




(Kaja = Maut)

*Mohabbat*

Mohabbat ki aag kabhi dikhayi nahi jaati
Ye to khud hi lagati hai lagayi nahi jaati
Mohabbat to saanson ke saat hi khatam hoti hai
Ye aag laakh bhujane per bi bhujayi nahi jaati..

Tuesday, July 20, 2010

Some SMS
**********************************
Jab-jab dil se tum hame awaz lagaoge
Tab tab tum hame apni nazron ke samne apoge
Khuda na kare kabhi dher ho jaye hame aane mein
Kahi kwaab samajkar "Roja" ko bhool na jaoge..??
************************************
Jab se meri nigahon ne dekha chehra tera hai
Tab se meri zindagi ko ranjo gam ne aa ghera hai
Ye to khuda hi jaane kaun si kayamath thi hum per
Is me na hi kasoor tera hai na hi kasoor mera hai..

**********************************
Na jaane kaise aasman per chamakte hai taare
Jaane kyu log mohabbat karte hai saare
Hum to ho chuke the dilon jaan se unke
Kya kami thi hamari wafa mein jo vo na huwe hamare?
*******************************

Log Chand Mein Ghar Banane Ko Soch Rahe Hai..
Ye Unnati Ki Baat To Hai..

Koyi Mujhe Batado, Ek Din Rukhne Wala DIL Ko
Bina Rukhe Dhadakne Ka Tareeka Koyi Batla De..!!
*********************************

Diya hai zakham to marham ka takaloof na karo
Kuch to rehne do meri zaat pe ehsaan apna..
**********************************

Yu dil jalana tera imaan ho shayad
Tere seene mein toofan ho shayad
Mat mujhko aazma itna ke dam nikal jaye
Mere wajood mein teri JAAN ho shayad
**********************************

Koyi chupata hai, Koyi batata hai,
Koyi rulata hai to koyi hasata hai..
Pyar to her kisi ko hai kisee na kisee se
Farak itna hai ke Koyi aazmata hai, aur koyi nibhata hai..
***************************************

Tumare saat bi tanha hu
Tum na samjhoge mai apne khwaab ka saya hu
Tum nazer jisse mai aaine ka, wo chehra hu
Num na samjhoge..!
***************************************

Tere mere beech zamana padta hai
Dil ko kitni baar batana padta hai
Tehar gaya hai baat muqaddar per
Aakir, khud ko yeh aksar samjhana padta hai..
*********************************

Doondti phirti basht-o-bayabaan mein hame
Zindagi hum se bichad ker khud bi pachtayi bahut..
************************************

Cute Truth : We cannot beg someone to stay with Us for ever.
We have to accept that Love doesn't give us the licence to OWN a Person.
*********************************
Great Thought

Lif is beautiful only for those who know ho to celebrate the PAIN.
***********************************

One day dreams asked Life : When will we will come true?

Life smiled and replied, Never, because the day all of You came true,
I will lose my meaning..

***************************************





Friday, July 16, 2010

*Yaad*


Unki yaadon mein bahatein hai aanson ye woh jante hi nahi;
Aab tho woh hamara dard kya, chehara bhi pahchante nahi.

*Kuch Dard Hai*

Kuch dard hai dil mein..
Dawa kaha hai..malum nahi

Zindagi tanhaa si hai..
Jiske bina...usko ehsaas nahi..

Haal-e-dil sunana hai..
Paas mere...alfaaz nahi..

Rone ko bekaraar hu..
Aakhon mein...barsaat nahi..

Isse badi saza kya hogi..
Tu paas hokar bhi...paas nahi

Jeena hai..jeeye ja rahi hu..
Saansein chal rahi hai...zindagi nahi

*Ae Kabristan*

“Ae-Kabristan” teri aagosh mein itna sannata kyu hai,
Log to apni jaan de kar tujhe abaad karte hai..!!

प्यार के एक पल ने जन्नत को दिखा दिया
प्यार के उसी पल ने मुझे ता -उमर रुला दिया
एक नूर की बूँद की तरह पिया हमने
उस पल को एक उसी पल ने हमे खुदा के क़रीब ला दिया !!

*Kahan Gaye*

Yeh jag sundar karnewale kahan gaye
Vyarth vyathaye verne wale kahan gaye?

Log lahu se aksar darte dekhe hai
Per aanu se darnewale kahan gaye?

Kanjer se merne wale to laakhon hai
Meete boli se merne wale kahan gaye?

Kahan gaye ve log raat ko mehkakar
Prath-kusum se jharne wale kahan gaye?

Geeton ki chaukat per ramjuhari mein
Apna mastak dharnewale kahan gaye?

Tann se nange rahe, magar mann se change
Dhan gumaan ko hernewale kahan gaye?

Kahan gaye ve ek bhoond aansu jal se
Agam sindu ko berne wale kahan gaye?

*Ek Dard Ek Gam*

Ek dard, ek gam, is zakham hai zindagi
Maut se bi badkar, saja hai zindagi

Aarzoo-e-saahil mein "Roja" toot bikhar jaati hai
Tufanon mein ulji huyi, khuda hai zindagi

Us chand ki chahat mat kar, vo nahi hai teri zindagi

*Tevar Badal Gaye*

Ab mere humsafar ke tever badal gaye
Kareeb manzil ke pahunchte hi hum fisal gaye

Maine tarasha aaj tak, jisse heera samajkar
Afsos aaj vohi pattar nikal gaya

Do kadam bi bewafa ne mera saat na diya
Sagar se kuch dhur hi, hum pyase mer gaye

Aisi chot di usne aaina-e-dil per
Manzil ke pass dil ke dukde bikhar gaye

*Dil Todkar*

Dil todkar bewafa hassa karte hai
Bankar zeherile naag dasa karte hai

Bhari mehfilon mein daaman tham lete hai
Fir jab bi jee mein aata, tar-tar karte hai

Jawani khuda samajte hai, bahut gurur karte hai
Bahut chahte hai pehle, fir yaar maar karte hai

Kitabon mein dafan hoke saccha ishq reh gaya hai
Ab to matlab ke aashiq hai, matlab ka pyar karte hai..



*Udas Hu Mai*

Jinki salamati ki rab se, hum dua karte rahe
Vo kanjer ki nok dil per hi, paina karte rahe

Khaar tak na chu sake, jis dil mein vo chupe
Usee dil ki chadar ko, tar tar karte rahe

Dunia ber ke zakham, humne khaye jinki khatir
Unhi ke haat zakhmon per, hawa karte rahe

Vo sera baandkar, bankar dulha nikal gaye meri dunia se
Hum apne haaton apna kafan taiyar karte rahe..

*Pyar*

Hame zindagi se pyare tum the sonu

Baat doosri hai aaj... ki tum ho na zindagi hai..

*Ye Sila Diya*

Ye sila diya usne meri mohabbat ka
Kareed ek kafan humpe, vo daal na sake

Kahan gayee vo kasme, saat jeene-merne ki
Ek nazer bi janaze pe daal na sake

Meri maiyyat pe sab ser fod fod roye
Mere dushman bi honton pe tale, daal na sake

Chilla chilla pukarte the, kabhi khuli wadiyon mein
Aaj math jaao itna bi pukaar na sake..

Thursday, July 15, 2010

Ab kar hi li hai bewafai
To sun le o harjayee
Tu mere liye paraya
Main bhi tere liye parayee

*Kahan Gaye*


Yeh jag sundar karnewale kahan gaye
Vyarth vyathaye verne wale kahan gaye?

Log lahu se aksar darte dekhe hai
Per aanu se darnewale kahan gaye?

Kanjer se merne wale to laakhon hai
Meete boli se merne wale kahan gaye?

Kahan gaye ve log raat ko mehkakar
Prath-kusum se jharne wale kahan gaye?

Geeton ki chaukat per ramjuhari mein
Apna mastak dharnewale kahan gaye?

Tann se nange rahe, magar mann se change
Dhan gumaan ko hernewale kahan gaye?

Kahan gaye ve ek bhoond aansu jal se
Agam sindu ko berne wale kahan gaye?

Wednesday, July 14, 2010

*Bewafa*

Hey Sanam

Tu Bi Aaine Ki Tarah Bewafa Nikla

Jo Samne Aaya Ussee Ka Ho Gaya

*Ek Prem Diwani*

Ek prem diwani Meera Ganshaam pukare mar gayi
Aag mein jalkar Sita maiya, Ram Ram pukare mar gayi..

Bulbul ka mann kalap raha hai sayyaad ki aahe bhrkar
Shiri apni bhedein charaye farhaad ki aahe bhrkar
Laila apne majnu ka bas naam pukare mar gayi
Aag mein jalkar Sita maiya Ram Ram pukare mer gayi..

Geeta padkar karm kare kya fhal ki aasha lekar
Insaa aakhir kabar mein lete jeevan ka tamasha lekar
Ek jyot diye ki sooraj ko sereaam pukare mar gayi
Aag mein jalkar Sita maiya Ram pukare mar gayi

Mann ka panchi chitchor bane maare udaane gagan ki
Preet ke mare mai mar jau khaye katari nayan ki
"Roja" jawani pyas ke mare Sonu Sonu pukare mar gayi
Aag mein jalkar Sita maiya Ram Ram pukare mar gayi

*आस्था का टोंग*

आस्था को धन से तौलने वाले लोगों को
भारत के उन क्षेत्रों का दौरा करना चाहिए
जहाँ के लोग दो वक़्त की रोटी के मोहताज़ है !
गरीबी में उनका जीवन गली के कुत्तों से भी बदतर है !

इस देश में आज भी लोगों के शरीर पर वस्त्र नहीं है !
वे खुले बदन रहने के लिए मजबूर है !

अब धनवालों का क्या कहना...
भगवान को करोडों के आभूषण अमीर घरानों के लोग अर्पित
कर अपनी कृत्रिम भक्ति का दर्शन कराते है !
कीमती मुकुट भगवन को चड़ने से पहले, देश के
४५ करोडों गरीबों के लिए घर बनवा देते !

भगवान को करोडों के आभूषण अर्पित करने से ज्यादा
भूखे पेट को भोजन, खुले बदन को वस्त्र देना ज़रूरी है !
मगर, इन गरीबों के लिए कौन सोचता ?

आयकर विभाग की ओर से छापे के डर, इन धनवालों को
भगवान पे चटावे के नाम से अपना कमाल दिखाते है !

आम इंसान अपने पुरे जीवन में ५० लाख तक नहीं कमा सकता
ओर मंत्री चले भगवान को करोडों लुटाने !

कभी कोई भक्त, शिर्डी साईं बाबा को सोने का सिहासन भेंट में दे रहा है तो,
कोई यहाँ हीरे की अंगूठी भेंट दे रहा है !

जीते जागते दुखी इंसानों की सेवा को सच्ची ईश्वर सेवा कहा गया है !
ऐसे में मंत्री/नेता/अभिनेता का यह धन प्रदर्शन टोंग
के सिवा क्या कहलायेगा मामूली इन्सान ?

*आस्था का टोंग*

आस्था को धन से तौलने वाले लोगों को
भारत के उन क्षेत्रों का दौरा करना चाहिए
जहाँ के लोग दो वक़्त की रोटी के मोहताज़ है !
गरीबी में उनका जीवन गली के कुत्तों से भी बदतर है !

इस देश में आज भी लोगों के शरीर पर वस्त्र नहीं है !
वे खुले बदन रहने के लिए मजबूर है !

अब धनवालों का क्या कहना...
भगवान को करोडों के आभूषण अमीर घरानों के लोग अर्पित
कर अपनी कृत्रिम भक्ति का दर्शन कराते है !
कीमती मुकुट भगवन को चड़ने से पहले, देश के
४५ करोडों गरीबों के लिए घर बनवा देते !

भगवान को करोडों के आभूषण अर्पित करने से ज्यादा
भूखे पेट को भोजन, खुले बदन को वस्त्र देना ज़रूरी है !
मगर, इन गरीबों के लिए कौन सोचता ?

आयकर विभाग की ओर से छापे के डर, इन धनवालों को
भगवान पे चटावे के नाम से अपना कमाल दिखाते है !

आम इंसान अपने पुरे जीवन में ५० लाख तक नहीं कमा सकता
ओर मंत्री चले भगवान को करोडों लुटाने !

कभी कोई भक्त, शिर्डी साईं बाबा को सोने का सिहासन भेंट में दे रहा है तो,
कोई यहाँ हीरे की अंगूठी भेंट दे रहा है !

जीते जागते दुखी इंसानों की सेवा को सच्ची ईश्वर सेवा कहा गया है !
ऐसे में मंत्री/नेता/अभिनेता का यह धन प्रदर्शन टोंग
के सिवा क्या कहलायेगा मामूली इन्सान ?
Mohabbat Aman Khushaali Ye Her Insaan Ki Chahat
Ye Hindustan Ki Chahat Ye Sari Dunia Ki Chahat

Ye Sari Serhadein Bann Jayegi Pul Dekhna Ek Din
Pukaregi Kabhi Insaan Ko Insaan Ki Chahat

Fakt Kashmir Kya Sara Watan Tumko Mubarak Ho
Abhi Dekhi Kahan Hai Tumne Hindustan Ki Chahat

Hum Insaan Hai To Bas Insaniyat Ka Dharam Apnayenge
Yahi Geeta Ki Chahat Hai Yahi Kuraan Ki Chahat

Erade Nek Rakhna Aur Manzil Per Nazar Rakhna
Yahi Hai Ram Ki Chahat Yahi Rehman Ki Chahat

Allah Malik

*Mat Poocho*

Aukadein basar ki tauba se jajbaat ka rona mat poocho
Jis baat pe aalam hasta ho us baat ka rona mat poocho..
Uske khooni aankhon mein Bharat ka muqaddar teek nahi
Sarkar ke aage Kashmir ke aukaad ka rona mat poocho..

Shaheedon ke sulagte armanon ka matam khudara dekhe to,
Shamma ke guzarish patangon ki mulaqat ka rona mat poocho
Insaan ke liye is dunia mein dasur wafa kab pak mili?
Majhab ke narak mein kafir se halaat ka rona mat poocho..

Inqalab ke andheri rahon mein suraj ka kahi ehsaas nahi
Jahan subah pe jugnu chamate ho wahan raat ka rona mat poocho
Aasaar hai aage kayamat ke iljaam na do nazaron pe
Mausam ki tabiyat teek nahi bersaat ka rona mat poocho..

Majruh jawani ki chahat pe khushiyon ki muradein behshi hai
Aise mein kisi shayar se koyi saugat ka rona mat poocho
Siyasat ki hakeeri chalon mein keemat nahi jajbaaton ki,
Yahan umer se lambi mehengayi ke sadmaat ka rona mat poocho

Aaj aatangwad ki panahon mein aalam ki sansein sehmi hai,
Bakron ki tarah se insaan ke katl ka rona mat poocho
Ek chand ki maiyyat pe sitare aansoo kahan tak bahayenge
"Roja" lash pe dulhan aayi hai baraat ka rona mat poocho..
Ye dhamake, ye katal-aam kab tak honge?
Mehfooz her shehar main Insaan kab tak honge?

Gujrat kabhi, kabhi Maharashtra, Kabhi Utter Pradesh,
Sangeeno ke saye main, Insaan kab tak honge?

Shaitani junoon ne baksha nahi kisii ko dekho
Ibadatgahon main khoon ke, nishaan kab tak honge?

Chitadon ki shakkal main be-kasoor Insaan ud raha hai,
Khoon-kharabe ke ye manzar yu sare-aam kab tak honge?

Ye humdardi, ye mua-avjhon se kya hasil hoga
Jaathi-dharam ke naam log, kurbaan kab tak honge?

Kyu nahi aakhirpass hamare jawab iska,
Hum aman ki bahali main, na-kaam kab tak honge?

Her din kauf, her din dehshath ke hai saaye
Chain-o-sukhoon bare, subah-shaam kab tak honge?
Kehte hai ki kuch log aise hote hai
Jinme samaj seva ka jajba hota hai

Desh ke liye kuch bi kar guzarne ki lalsa
Jan Sevakon ko Raajneeti mein kheench laati hai

Vastav mein rajneeti mein chalang laganewale
Kuch hi dino mein Andha-dhund dhan bhatorte hai

Adhikter aise sevak hai jinko raajneeti sirf dhanda hai
Bina poonji lagaye raaton-raat mala-maal ho jate hai

Sansad mein aate hai apni Paanch-Saat pidiyon ki suraksha karlete hai
Jaise ki unke haat koyi jaadu ki chadi lag gayi hai

In jan-sevak mantri bante hi inki dunia badalte dikhayi deti hai
Her ek mantri yahi samajta ki desh ki sampati per uska hi adhikar hai

Janta bechara bhale hi badhali mein din guzare
Per in mantriyon ko rajawon jaisi suvida chahiye

Jensevakon ke taat-baat dekhkar toh raja-maharaza bhi sharminda ho jaye
Per in besharamon ko sharm hi nahi aati hai

In netawon ko kaun samjaye ke yeh us mulk ki niwasi hai
Jahan per thees pratishat aabadi garibi rekha se bi neeche hai

Hamara desh mein aise log hai
Jo badil mushkil se 100 rupaiya prati din kama paate hai

Ab aap hi batao kaun in mantriyon ko jagaye Ke
Yeh Jan-pratinidhi hai,Jan-sevak hai

Kaise jagaye inhe?

*Aatangwad Ka Anjaam*

Rojmara ke dange-fasaad hai anjaam ke liye
Aatankiyon ka aatangwad hai anjaam ke liye..

Pichle baras ne zulm ki serhat falaang li,
Kitnon ke ghar berbaad hai anjaam ke liye..

Aatangiyon ne rounda hai mere mulq ka naseeb,
Dil serkar ka nashaad hai anjaam ke liye..

Ser-e-aam aatangiyon ne ye farman ker diya,
Aafat ka din aabaad hai anjaam ke liye..

Jammu-Kashmir ka khoon karaba roke na rukhe
Sab hungamon ki fariyaad hai anjaam ke liye..

Begunahon ki ismein rojana jaane jaa rahi hai,
Be-maut kaja ki daad hai anjaam ke liye..

Taqat nahi ki roke koyi ye anhoni ke faasle,
Honi ko hona yaad hai anjaam ke liye..

HIT-LIST mein aaj "Roja" ka gar naam ho bura
Ek goli ka persaad hai anjaam ke liye..

*Hum Sab Chor Hai*

Dilkash parde lage raaz ke rakhvalon se
Haan, hum sab hai chor pooch lo in Sarkaron se

Aashawon ke sabhi kinare lage serakne
Gaye maangne log aasre majdharon se

Aaye tere dhar pyar ke maare hum sab,
Hame bacha hi lena dushman, in yaaron se

Ek tasalli ke ghar mein hum tehre, be-ghar,
Aas liye baite hai ab to inkaaron se

Hum aawara rooh tadapkar chale doondne,
Vo tanhayi aaj shor ke bazaron se

Aaj ahimsa ke saayon mein jale log ye
Aaye hai insaaf mangne talwaron se

Ek gulabi phool haat mein lekar "Malli",
Haal poochne chali dehshaton ke maaron se...!!
Vo her sawal ke badle sawal deta hai
Jawab deta nahi, haskar taal deta hai

Gareebi mit.ti nahi hai, vikaas hota nahi,
Her-ek baar vo sapne vishaal deta hai

Aa gayi hai nayi sarkar, magar baniya to
Ab bi Sau rupaiye kilo daal deta hai

Vo haarta hua chunav jeetne ke liye,
Jaati ka, dharm ka mudda uchaal deta hai

Uski chahat mein to Hitlar hai, magar Bhashan mein,
Vo Gandhi ji ki hi aksar misaal deta hai.
.

Hai Nahi Kuch

है नहीं कुछ फिर क्यों भारी मन है,
दिन के अंत में कैसा अधूरापन है?

बोझिल आँखें, चूर बदन हैं, थके कदम से
कहाँ रास्ता मंज़िल का भला पाता बन है?

अधूरेपन की कविताएँ भी अधूरी ही रह जाती हैं,
पूरा कर पाए इन्हें, कहाँ कोई वो जन है?