Wednesday, July 14, 2010

*Ek Prem Diwani*

Ek prem diwani Meera Ganshaam pukare mar gayi
Aag mein jalkar Sita maiya, Ram Ram pukare mar gayi..

Bulbul ka mann kalap raha hai sayyaad ki aahe bhrkar
Shiri apni bhedein charaye farhaad ki aahe bhrkar
Laila apne majnu ka bas naam pukare mar gayi
Aag mein jalkar Sita maiya Ram Ram pukare mer gayi..

Geeta padkar karm kare kya fhal ki aasha lekar
Insaa aakhir kabar mein lete jeevan ka tamasha lekar
Ek jyot diye ki sooraj ko sereaam pukare mar gayi
Aag mein jalkar Sita maiya Ram pukare mar gayi

Mann ka panchi chitchor bane maare udaane gagan ki
Preet ke mare mai mar jau khaye katari nayan ki
"Roja" jawani pyas ke mare Sonu Sonu pukare mar gayi
Aag mein jalkar Sita maiya Ram Ram pukare mar gayi

No comments:

Post a Comment