Aukadein basar ki tauba se jajbaat ka rona mat poocho
Jis baat pe aalam hasta ho us baat ka rona mat poocho..
Uske khooni aankhon mein Bharat ka muqaddar teek nahi
Sarkar ke aage Kashmir ke aukaad ka rona mat poocho..
Shaheedon ke sulagte armanon ka matam khudara dekhe to,
Shamma ke guzarish patangon ki mulaqat ka rona mat poocho
Insaan ke liye is dunia mein dasur wafa kab pak mili?
Majhab ke narak mein kafir se halaat ka rona mat poocho..
Inqalab ke andheri rahon mein suraj ka kahi ehsaas nahi
Jahan subah pe jugnu chamate ho wahan raat ka rona mat poocho
Aasaar hai aage kayamat ke iljaam na do nazaron pe
Mausam ki tabiyat teek nahi bersaat ka rona mat poocho..
Majruh jawani ki chahat pe khushiyon ki muradein behshi hai
Aise mein kisi shayar se koyi saugat ka rona mat poocho
Siyasat ki hakeeri chalon mein keemat nahi jajbaaton ki,
Yahan umer se lambi mehengayi ke sadmaat ka rona mat poocho
Aaj aatangwad ki panahon mein aalam ki sansein sehmi hai,
Bakron ki tarah se insaan ke katl ka rona mat poocho
Ek chand ki maiyyat pe sitare aansoo kahan tak bahayenge
"Roja" lash pe dulhan aayi hai baraat ka rona mat poocho..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment