Wednesday, October 7, 2009

Usse Apni Zid Ki Fikar Thi

Usey apni zid ki fikar thi
Mujhe apni anaa ka khayal tha

Na mil sakey hum phir kabhi
Wo hamari mohabbaton ka zawal tha

Mere liye us ka sath he sab kuch tha
Us ke liye ye sab mazaaq tha

Usey bas apni manzilon ki fikar thi
Yahan meri zindagi ka sawaal tha
[b][maroon]Chalo Tum Keh Rahe Ho To
Mai Wapis Laut Jaati Hu
Tumhe Manzil Mubarak Ho
Naya Saati Mubarak Ho
Magar Hey Humdam,
Mujhko Itna Balta Do
Ke Wapis Mai Kis Taraf Jau?
Kahan Se Saat Laye They
Mujhe Itna Sirf Samja Do

Agar Aisa Nahi Mumkin
To Mujhko Is Tarah Tum Todo
Ke Dil se Pyar Tera Bikar Jaye
Bhatakne Se Toh Accha Hai
Tumhare Pass Mar Jaau

Wednesday, June 3, 2009

Sabab Rootne Ka

Sabab rootne ka bata kar to jate
Hame bhi zara aajmakar to jate

Fazaon ne poocha kayi bar tum ko
Jalak bas zara si dikha kar to jate

Muskura rahi thi chaman main bahare
Mohabbat ke nagme sunakar to jaate

Diya dard-dil koyi shikwa nahi hai
Pata charagar ka bata kar to jate

Agar besabab thi hamari shikayat
Zara aankh hum se mila kar to jate

Zara aur rukte to hoti enayat
Janaja hamara uta kar to jate

Mita hi diya jab "Roja" ko tumne
To uski chita bhyi jala kar to jate




(sabab : Karan, Faza : Watavaran, besabab = bina karan
Inayat = krupa)

Shabdh Jhoote Hai

शब्द झूठे है सभी सत्या कथाओं की तरह
वक़्त बेशर्म है वेश्या की अदाओं की तरह

जाने वो किसका था साया की जिसे छूने को,
हम भटकते रहे आवारा हवाओं की तरह

प्यार के वास्ते प्यासा है ये दिल सदियों से
अब तो बरसो कोई सावन की घटाओ की तरह

हर अंधेरे से सुबह बन के गुज़र ज़ाऊगी
तेरा हाथ जो रहे सर पर दुआओं की तरह

आज पलकों में मुझे ख्वाब बनाकर रख लो सनम
कल मै खो जौंगी, गुमनाम गुफ़ाओं की तरह

मुझको सुलझाने में तुम ख़ुद ही उलझ जाओगे
ज़िंदगी है मेरी साधु की जाताओं की तरह

जी हां .. "रोज़ा" में बहुत दोष है लेकिन फिर भी
माफ़ कर दो उसे बच्चों की खताओं की तरह[/size]


Shabd jhute hai sabhi satya kathawon ki tarah
Waqt beshrm hai veshya ki adawon ki tarah

Jane wo kiska tha saya ki jise chune ko,
Hum bhatakte rahe aawara hawawon ki tarah

Pyar ke wasthe pyasa hai yeh dil sadiyon se
Ab to barso koyi sawan ki ghatao ki tarah

Her andhere se subah ban ke guzar JaaU.gii
Tera haat jo rahe ser per duawon ki tarah

Aaj palkon mein mujhe khwaab banakar rakh lo sanam
Kal mai kho jaungi, gumnam gufawon ki tarah

Mujhko suljane mein tum khud hi ulajh jaoge
Zindagi hai meri sadhu ki jatawon ki tarah

Ji haan "Roja" main bahut dosh hai lekin fir bi
Maaf kar do use bachchon ki khatawon ki tarah

Toofan Main...

Toofan main kashti ko kabhi kinara na mila
Aadmi ko aadmi ka sahara na mila

Kaisa ye naya daur aagaya hai ki jisme
Mohabbat - bara koyi ishara na mila

Maa-baap ki kidmat ab kwaab bann gayi
Srawan-sa koyi aankh ka tara na mila

Her taraf dukh hai, takqlif hai, mayusi hai
Khushiyon bara kyu koyi nazara na mila

Wo dikhe to dunia ke liye khushi mai mangu
Aasma.n se koyi toota sitara na mila

Apni-apni akad main her koyi hai dekho
Sab vijaita kehte hai... koyi haara na mila

Tokkar Khaker ...

Tokkar khaker sambal na paya
Khud ko apne badal na paya

Dekh haal woh kaise rota hai
Pattar tha jo pigal na paya

Fisal gaya jajbaat main yu hi
Dil toh dil hai sambal na paya

Beech raah main chod gaya woh
Saath do kadam chal na paya

Kaash..!! kahi ab jal jaye
Woh chiraag jo jal na paya

Hum Kabhi....

Hum kabhi kisii ki bhool ke bhi
Cheena muskan nahi karte
Hum sakht-tabiyat hai lekin
Bin bath tufan nahi karte..!!

Hum andkaar main reh sakte
Uski tokkar bhi seh sakte
Per kiranraaj ke dhar per jaa
Hum manga daan nahi karte..!!

Jo pyar se koyee vish bhi de
Hum haste-haste pee jate
Per daya-daan main mila hua
Hum amrit paan nahi karte..!!

Auron ki bath nahi kehte
Hum apni baat batate hai
Apna apmaan nahi sehte
Apmaan auron ka bhi nahi karte..!!

"Roja" ka dil jahan mil jaye
Pehchan usee se kar lete
Jis.se dil nahi mile apna
Usse pehchan nahi karte..!!

Hisaab Hai Mere Pass..

Hisaab Hai Mere Pass...

Apni tanhayi ka jawab hai pass mere
Tum nahi gam nahi.. Yaad teri hai pass mere

Koyi kitni bhi chaal chale hai manjur mujhe
Herkaton ko samajne ki kitaab hai pass mere

Mera hi zulm gin-gin ke na bata zamane ko
Tere bhi gunahon ka hisaab hai pass mere

Na jaan payega koyi meri fitrath ko
Chup-chup ke waar karne ka nakaab hai pass mere

Ab Na Muskurayenge Hum

Ab na muskurayenge hum teri dunia main sanam
Rehne do tanha hame itna hi kar do karam

Shabbe furkat mein chandni aitbar kar rahi hai,
Chashme ter na ho falak dekh ke tera sitam

Kijaa mein doobkar baharon ki fizayein royi
Aashiyan jalte hi dil ko mila ranj-o-aalam.

Humpe mohabbat ke katron ka na dalo tum kafan
Zindagi udte hi tum tod do apni kasam.

Maine chaha tha tere waste luta du dunia
Woh shikayat na rahi chod do mera bram

Tere pyar se mere dil ko mila hai ye sila
Aur na intezar karo verna khuda ko bi ho gam

Tumhe Ruswa Karke

Tumhe ruswa karke hai khud ruswa hona,
Behtar yahi hai mai chod du ye dunia.

Shabbe ruth ki furkat hai meri judayi ki dushman
Kash seene mein mohabbat ke woh tasavvur na hote.

Tanhayi ki gudan mein yeh dil bekarar karke
Mitane apni hasti ko hum majbur na hote.

Kaleje ka pani hai jalti sisakti nigahon main
Tadapte hai arma.n mere dekh sunsaan rahein.

Bhayanak andheron mein koyi ab pukare na mujhko
Veerano ke gheron main jane jaha.n se kahan hu.

Fithrat ke aaghosh apni le jagadthi jawani
Haiy zindagi ka katil mai kahan se kahan hu.

Dehshat ki tarannum fir ajal baj rahi hai
Betab dil ki dhadkan mera gam na dekhe.

Chali ruh kaza ko ab milne ko
Jaan-e-man tera chehre ko kabhi hum ne dekhe

Tumhe ruswa karke hai khud ruswa hona
Behtar yahi hai Mai Chod Du Ye Dunia.

Sunday, May 17, 2009

Diwar Math Banvayiye

Raste hain raston ke beech yeh diwar math banvayiye
Phool mein kante chhipakar haar math banvayiye..

Dharm hai to dharm ko bas dharm rahne dijiye
Dharm ko pighla ke yun Talvar math banvayiye

Kuchh chahak, kuchh pyar, kuchh tazi hawa aane to do,
Kisne batlaya, ki, ghar mein dwaar math banvayiye?

Phool hain, kaliyan kahin, kuchh titliyan bhi bag main
Aag ki basti yahan har baar math banvayiye

Aadmi sab se bada us se bada kuchh bhi nahin
Aadmi ki laash par Minar math banvayiye

Friday, May 1, 2009

Na koyi pervaaz hai baki
Ab na teri aawaz hai baki

Maine apni saari hadein paar ker li
Koyi anjaam hai na aagaaz hai baki

Dunia ne usse supoorde khaak kiya,
Aaj bhi uske merne ka raaz baki hai

Saari aafaton se sambal aayi hu
Girni hai jo wo gaaz hai baki

Sabhi ne apne-apne huner dikhaye
Dunia se juda mere andaaz hai baki

"Roja", uski wafa pe aitbaar na kar
Jiske seene mein Naz hai Baki..
अभिसार के खेतों मैं प्यार के नगमे बोति हू
सेहरा सेहरा हस्ती हू जंगल जंगल रोती हू
बलखाती नदी के तेवर मस्ती का बोसा माँगे
आँखों मैं चहेकने दरिया हस्ती का बोसा माँगे

डूबने को समंदर मैं आपे से बहेर होती हू
सेहरा सेहरा हस्ती हू जंगल जंगल रोती हू
भौरों की वहशी साँसें नागफनी ने झेली
सेहरा सेहरा हस्ती हू जंगल जंगल झेली

बिन बियाही तितलियों मैं चाहत के रंग धोती हू
सेहरा सेहरा हस्ती हू जंगल जंगल झेली

दामन मैं महबूबा के चाँद का जोबन निखारा
रात को बनके दुल्हन तारों ने जलवा बिखरा
आसमाओं की पनाहो मैं तन्हा जवानी खोती हू
सेहरा सेहरा हस्ती हू जंगल जंगल झेली
================================================
Abhisar ke kheton main pyar ke nagme boti hu
Sehra sehra hasti hu jungle jungle rothi hu
Balkhati nadi ke tevar masti ka bosa mange
Aankhon main chehekne dariya hasti ka bosa mange

Doobne ko samandar main aape se baher hothi hu
Sehra sehra hasthi hu jungle jungle rothi hu
Bhouron ki vehshi saansein nagfani ne jheli
Sehra sehra hasthi hu jungle jungle jheli

Bin biyahi titliyon main chahat ke rang dhothi hu
Sehra sehra hasthi hu jungle jungle jheli

Daman main mehbooba ke chand ka joban nikhara
Raat ko banake dulhan taaron ne jalwa bikhra
Aasmaon ki panaho main tanha jawani khothi hu
Sehra sehra hasthi hu jungle jungle jheli
Deed ki mutazir aankhon ko nazara chahiye
Koyi jannat nahi bas didaar tumhara chahiye

Gardishon ne shikasta dalkar diya is kadar
ki sambalne ko teri bahon ka sahara chahiye

Bhavar main kashti hai fasi aur tufaan joron per
Yeh mere humsafar, ab mujhe kinara chahiye

Ek muddat guzari virane main guzar karte
Zindagi ko ab to tera pyar bepanah chahiye

Milega?
Jane kyu her saans k sath dekhti hu teri di nishani
Jab bhi likhti hu koyee sher yaad aati hai apni kahani

Tumne to di nahi "Roja" ko ek mulakat bhi apni
Per humne to likh dali tumhare naam apni jawani..

Kaho na ab to pyar hai mujhse

Tadpate Ho

Sapno main mere tum aate ho
Aur mujh ko rula kar jate ho
Mai lakh sadayein deti hu
Tum chup reh kar tadpate ho..

Kya hai ye khata chahat meri
Jo paa na saku ulfat teri
Ye dhuri mujhe bhi khalti hai
Par samjo tum meri majboori
Tum se pyara mujhe koyee nahi
Tum phir bhi kyu tarsate ho..

Dil chahata hai tera saath rahe
Tere hathon main mera haat rahe
Kho jau mai teri bahon main sajna
Aur tum herdam mere pass rahe
Aankhon main tumho ho ... Dil main tum
Mere her nagmein main tum...
Phir bhi kyu mujhe tukrate ho??

Kyu

Sajna...

Teri aankhon main umeed mangi thi..
Phir udasi kyu mili?

Teri bahon ka sahara chahi thi..
Phir tanhayee kyu mili?

Tumhare chahat ki wafa chahi thi..
Phir bewafayee kyu mili?

Tumhare sathy jeene ki kasam mangi thi..
Phir akele jeene ki saza kyu mili?

Kyu?
Mohabbat guzre lamhon ka fasana yaad kar baiti
Tamanna aise main teri hamein nashaad kar baiti

Zamana sadiyon se ulfat ka dushman taak dekha hai
Murade mangne aao khuda napaak dekha hai
Sharafat chup ke gairat main wafa berbaad kar baiti
Tamanna aise main teri hamein nashaad kar baiti

Sabhi begana kehte hai sahara kaun de hum ko
Jawani batake gardish main guzara kaun de hum ko
Kisii pe haq nahi apna garaj azaad kar baiti
Tamanna aise main teri hamein nashaad kar baiti

Shamma pe jalte parwanon ki turbat benisha.n payee
Lutakar dil ke armanon ko "Roja" ka aankh ber aayee
Muqaddar zindagi ke gham kaja ke daad ker baiti
Tamanna aise main teri hamein nashaad kar baiti

Mohabbat guzre lamhon ka fasana yaad kar baiti..
Tamanna aise main teri hamein nashaad kar baiti.
Jane tamanna jane jigar.. jabse ladi hai apni nazar
Mai bhi gayee, tum bhi gaya.. khud ko kaho hum doonde kidar?

Gulshan main thi kaliyan kayee, nazre magar tujper rukhi sanam
Teri adha, sab se juda, tera mukabil koyee nahi
Sare shehar main charcha tere, jalwa hai tera dekhu jidhar..

Jalwa mera bhi kam nahi, sani mera bhi toh nahi
Mere diwane bhi they kayee, maine kisii ko poocha nahi
Jab aa gaye hum rubaru, apni rahi na humko khaber..

Mere liye hi hai tum, mai tere liye, mai tera dil hu, tum mere Dilse
Tum hi mera pyar, mera armaan, mai tera pyar, tum meri Jaanu
Yu hi Nagmein Tumhare gata rahe dil mera
Rangeen hogi dunia hamari, tum saath de joh mera agar..

Naand Bankar Mai Tumhari

Sajna... Nagme tumhare aur sunati...

Neend bankar mai tumhari
Raat main tumko sulau
Ban kiran-aasha diwas ki
Mai tumhare pass aau
Saath aisa mai nibhau..

Bhav mann main likho mere
Phool jaise daliyon per
Tum hi mere devta ho
Mai tumhara Path sajau..

Lehar se khelo, bhado tum
Aandhiyon ko band lo
Kashti banke mai tumhari
Tumko sagar.teer laau..

Ho dukhi ya ho khushi tum
Mai tumhare saath hu..
Ber tumhari chavi nayan main
Aap apni mai mitau....
Dhoop ke sath gaya sath nibhane wala
ab kahan aayega wo lautke aane wala

Ret per chor gaya nakshe hazaron apne
Kisii pagal ki tarah naksh mitane wala

Kushak shake kabhi aise to nahi cheekti hai
Kaun aaya hai parindon ko darane wala

Mujhko dar-parda sunata raha kissa apna
Agle waqton ki hikayat sunane wala

Shabnami ghaas, ghane, phool, larjati kirne
Kaun aaya hai khajanon ko lutane wala.....
Mere Zindagi Ke Sathi

Chalo tumhe batate hai ke
Hamein tumse tumse kitne Mohabbat hai..

Jitni chandni ko chand se
Jitni khushboo ko hai phool se

Jitni raaste ho hai dhool se
Jitni shamma ko hai parvane se

Jitni diwani ko diwane se
Jitni sharabi ko maikade se

Jitni durwaesh ko darga se
Jitni bande ho hai KHUDA se

Meri zindagi main KHUDA ke baad ho Tum
Her pal, her jagah, her gadi ke Yaad ho Tum

Tum hi roop, tum hi darpan
Tum hi jeene ka sahara ho..

Tum hi sahil ka kinara ho
Tum hi chahat ka aasman

Tum hi zakhamon ka darmaan
Tum hi rooh ka karwaan

Tum hi is dil ke darkan ho
Tum hi jeene ka karan ho

Tum hi mere rehnumar
Tum hi Mehboob, Tum hi humsafar

Tum hi mere DILSE ho
Mai Teri Roja

Koyee Wada Nahi Hamme

Koyee wada nahi humme,
Na aapas main Bahut bathein
Na milne main bahut shokhi
Na aakhir mana jaati
Magar ek unkahi si hai
Jo hum dono samajte hai
Yeh sare dil lubani wale manzar
Chandni raatein, Sunheri dhoop ke mausam
Yeh halke halke bersaatein
Sabhi ek zid main rehte hai
Mujhe paigam yeh kehte hai..

Mohabbat Yu Nahi Acchi..
Mohabbat Yu Nahi Acchi..

Intezar Main Aapka

Intezar main aapka dil ko tarpaya bahut
Rooh ko bechain kiya, aankhon ko rulaya bahut

Tere saath bithe lamhe sanson pe chaye rahe
Guzar ke be-noor din sulagti huyee raatein bahut

Raste juda huwe ek hi safar main
Pal bar main ho gaya manzile dhur bahut

Tanhayiyon ke shor main kuch b to yaad na raha
Thi fasloon ki dhuriyan ya hum they kareeb bahut

Intezar main tere dil ko tarpaya bahut
Rooh ko bechain kiya, aankhon ko rulaya bahut

Jalta Apna Ghar

Jalta apna ghar dekh bhi muskurata hai koyee
Juda hone ke bavjood bhi yaad aata hai koyee

Tanhayiyon ki darauni cheeke sunta hai koyee
Vaada her ek karta raha, nibhata hai koyee

Bacha na jab kuch to khud ko hi jalata hai koyee
Aur na le imtehaan Khuda is kadar dil lagata hai koyee

Apne dard ke lambe kisse bhi aaj batata hai koyee
Ilzaam auron ka lekar apne ser pe, Aeb kisii ke chupata hai koyee

Aaj fir na jane kyu baharon ke sapne sajata hai koyee
Pyar ki Anjaan Rahon main, Nagme Tumhare, logo ko sunakar
apni chaap chor jata hai koyee

Zindagi Main Aap Jab Se Aa Gaye

Zindagi main aap jab se aa gaye
Hai ujale hi ujale cha gaye

Roop kya hai tap pata humko chala
Aap aakar jab jalak dikhla gaye

Pyar ka ehsaas humko tab hua
Naiyan se jab nayan mil sharma gaye

Hai kashish kya cheez hum jane tabhi
Chand mukh per baal jab lehra gaye

Tab hua maloom kya muskan hai?
Jab adheron main Aapke madhur muskaa gaye

Mohabbat Kis Ko Raas Aati Hai

Mohabbat her kisii ko kahan raas aati hai
Lakhon main ek ke hisse hi ye saugaat aati hai

Ishq karte toh sabhi hai, nibhata hai koyi-koyi
Is dunia se bhi mohabbat maat khati hai

So toh gaya koyi, peeke zaharabe-ghame-ishq
Piye kya mehangi bahut, sharab aati hai

Maut bhi nahi aati, diwane ko us dham
Jab raat aati hai, kisii ki yaad aati hai..

Kaise Pahunche Hai Yahan Tak


Kaise pahunche hai yahan tak tumhe andaaz nahi
Tum bi janoge jalan kya hai magar aaj nahi

Ek merghat tha jahan jalti huyee umer mili
Koyee dhadkan na kahi thi, koyee awaaz nahi

Aag ka ek safar tha, kahi pani na mila
Koyee ghar tha na jahan, pyas ka raaz nahi

Ek mruthal tha garam, pair chalon se bhare
Sir main girne ke zakham hai, ye koyee taj nahi

Besuri chav mili, besure ghav yahan
Poori basti main koyee, sur main tha saaj nahi

Sari dunia main hume, koyee apna na mila
Hum to samjhe they koyee, humse naraz nahi..
Hijar ki aag main sulgo to bura lagta hai
Tum mere didaar ko tarso to bura lagta hai

Ek tamanna hai fakat mujhpe meharbaan raho
Tum kisii aur ko dekho to bura lagta hai

Meri rooh tarasti hai teri kwabon ko
Tum kahi aur mehko to bura lagta hai

Aarzoo hai ke tumse dilse dosti ka haat milau
Tum mera dosti ko nakare to bura lagta ha

Aaj Phirr Dil ne ek Nagma Likha Tere Naam
Aaj Phir kar Diya Dil Jaan Jigar Tere Naam

Meri Muhabaat Ki Sabb Shayari Sarhad
aaur Mushayare Hain aPna Aawaam

Likhte Rahe Nagme Tumare Hai apni kalam ka yehi kaam
SuKoon Seena mein Utarta hai Lekar Sirf Tera Naam!!
Zindagi main aap jab se aa gaye
hai ujale hi ujale chaa gaye

Roop kya hai tab pata humko chala
Aap aakar jab jalak dikhla gaye

Pyar ka ehsaas humko tab hua
Naine se jab naine mil sharma gaye

Tab hua maloom kya muskaan hai
Jab adharon per aapka madhur muskaa gaye..

Aansoo Bankar

Aasoo bankar pyar ka mai ber tumhari aankh jhau
Rokna mujhko nahi tum kya hua jo charan pau

Girne main apmaan kaisa... Prem main abhiman kaisa?
Phool dali se jhare toh phool ka avmaan kaisa?

Mit ke jo banta mehal hai mitne ka pratimaan kaisa?
Barne do mujhko palak main .. jharne do mujhko batakne

Meri hai abhilash itna mitke bhi mai yaad aau..

Pyar Mila Saugaat Mili

Pyar mila saugaat mili
Chandbhari ek raat mili

Chalne ko toh rahein chalte hai
Girte hai aur samhalte hai
Jane ko manzil tak lekin

Anmol tumhari yaad mili
Pyar mila saugaat mili..

Rahon main andhera girta hai
Kabhi chand utarkar aata hai
Karne ko ujala jeevan main

Ullas-bhari awaaz mili
Pyar mila saugaat mili..

Kuch pass nahi, koyee sath nahi
Dunia main kahi vishwas nahi
Karne ko barosa jeevan ber

Dehri pe rukhi ek praat mili
Pyar mila saugaat mili..

sapne na saje, na gaye manse
Madhumaas na laute madhuban se
Dene ko duwayein sapno ko

Palkon main doobi raat mili
Pyar mila saugaat mili
Aapki yaad phir aaj aane lagi
Aankh phir aasuwon ko chupane lagi

Aapka naam le kar hamesha yahan
Mehan apna ye dunia banane lagi

Muflisi ka yahan aaj ye haal hai
Joh hai ooda usee ko bichane lagi

Hum fakhiron ka jane muqadar hai kya
Her kadham mushkile ser utane lagi

Aadmi ki garaj bad gayee yu ki ab
Aadmiyat jahan se mitane lagi

Aasman ab kare kuch toh mumkin ho
Ye zameen haat khali dikhane lagi

Bhair dunia ko na jane kya mujhse hai
Meri aankhon se sapne churane lagi

Tab "Roja" ko aakar lage poochne
Saans jab us.se dhaman chudane lag

Thursday, April 30, 2009

Jab Kabhi Bi Yaad

Jab kabhi bhi yaad teri aa gaya
Zindagi main chandni-si cha gaya

Aaj bhi unki mehak jeevan main hai
Pyar ki madira jo tumne chalka gaya

Ker gaya rangeen jeevan roop se
Pyar se tum zindagi mera mehka gaya

Zindagi main phir ujala ho gaya
Zindagi main jaan hai phir aa gaya

Tumko paa ke zindagi phir jee uti
Zindagi phir tum se jeevan paa gaya

Pyar se Jag

Pyar se jag ko raha nata nahi
Pyar se ab bolna aata nahi

Aaj dhan-daulat pe dil dete sabhi
Pyar per dil dena ab aata nahi

Ab sabhi hai geet-gazale bechte
Dil ki kathir koyee ab gata nahi

Zindagi bhi ho gayee hai mol ki
Pyar bin paise ke mil pata nahi

Jane kya "Roja".., dunia ko hua
Aadmi ko aadmi bhata nahi

Ek toh aapka awaaz aayegi
Aapka kahi huyi her baat yaad aayegi

Din dal jayega raat yaad aayegi
Her lamha hamari pehli mulakat yaad aayegi

Kabhi haste huwe, kabhi rutey huwe, kabhi muskurate huwe
Ye zindagi tere bin bhi kat jayegi

Par kuch kami is main bhi reh jayegi
Mere Dil ko tadpayegi, tarsayegi..

Her lamha sanam teri yaad aayegi..
Yaad Aayegi ..
Dillagi na samjho mohabbat hamari
Hamein jante hai haqeekat hamari

Bata de tumhe hum, agar poochte ho
Tumhi jaan ho, tum ho jannat hamari

Yakeen tum ko kaise dilaye bata do
Tumhi toh sanam ho ebadat hamari

Tumhe kya kabhar kis kadar jee rahein hai
Hamesha tadapti hai hasrat hamari

Agar joh na hota tumhe pyar hum se
Na karte hamee se shikayat hamari

Magar phir bhi tum yaad karna na hum ko
Jara gaur karna hidayat hamari

Safar zindagi ka tumhe ho mubarak
Hai mer mer ke jeena toh aadat hamari

Kabhi kaam tere agar aa sake toh
Karam ho khuda ka, ho kismat hamari

Duwaye "Roja" tumhe aur kya de
Salamat raho tum, hai hasrat hamari
Meri mohabbat hai woh, koyee majboori toh nahi
Woh mujhe chahe, ya miljaye zaruri toh nahi
Yeh kuch kam hai kya basse hai meri saanson main
Woh samne ho meri aankhon ke zaruri toh nahi
Jaan kurbaan meri, uski her muskurahat pe
Chahat ka takaza hai yehi, Aqal-e-Khurori toh nahi
Ab toh nikalke aankhon se yaadon main jha base hai woh
Yahi hai qurbat-e-chahat, koyee doori toh nahi
Kyu sulakthi hai apne aapko, Aye.. Roja
Dil be tera Jaan bi tera, koyee tandoori toh nahi

Tum Sa Koyi Nahi

Aapse badkar khoobsoorat koyee nahi
Phool khilte hai, per unki khushboo aap se hai
Dhoop nikalthi hai, uska ehsaas aap se hai
Tare chamakte hai, par unki chamak aap se hai
Nadiya behti hai, par unki athkheliya aap se hai
Chand main thandak aap se hai,
Suraj main agan aapse hai
Saaj main tarang aap se hai, geeton main bol aap se hai
Prakrithi sari khoobsurati aap se hai sanam
Toh aap se khoobsurat kaise koyee aur sanam hoga?

Mera koyee need nahi hai koyee saath nahi mere

Dukh bana hai meri chaya rehta mujhko herdham ghere

Is chaya ka saath nibane aasoo ka aadhar chahiye

Mai hu ek akela rahi mujhe kisi ka pyar chahiye..!!

Jeevan ki hu ek kahani bin likhe jo likhi gaye

Sheershaq jiska mila na dhoonde kadi-kadi se toot gaye

Likhi kahani poori kar de bhasha woh uphaar chahiye

Mai hu ek akela rahi mujhe kisii ka pyar chahiye..!!

Andhkar main path naapa hai kho jana hai manzil meri

Is dunia ko samjha maine nirdhan ki nirdhan deri

Darta hai mann keh dene se mujhe kisii ka dwaar chahiye

Mai hu ek akela rahi mujhe kisi ka pyar chahiye..!!

Dagar-dagar mehmaan bani mai ab mujhko aaraam chahiye

Path ka parichai kaise de du wahan kisii ka naam chahiye

Shoolon kil bhi bhare phool se ghandbari woh daar chahiye

Mai hu ek akela rahi mujhe kisi ka pyar chahiye..!!

Chale Aao

Chale aao kahi shaam ye dal na jaye
Mulakat ki ye ghadi tal na jaye
Nazron ko jata de machalna na yu bhi
Kahi bhool se raaj ye khul na jaye
Kisi se na karna kabi bath meri
Zamana ye zalim kahi jal na jaye
Tumhari kasam mai tumhe chahthi hu
Kisii ko magar pyar ye khal na jaye
Mile saath tera yahi aarzoo hai
Magar Zindagi ye hu hi dal na jaye
Agar chahte ho toh dil main basalo mujhe
Patha ye kisii ko magar chal na jaye
Ye sach hai "Roja" tumhari hii hai par
Kahi ishq ki aag main jal na jaye.
Jubaan tak la nahi sakhte
Kuch aisa hadsa dekha
Hum hi zinda rahe, koyee hamare hosle dekhe
Andhere main nikalna aur gayee shaab(raat) lautkar aana
Kisse fursat ki ab bachchon ko haste-khelte dekhe
Kisii ne khwaab ke perde main dekhe nahi honge
Jo apni jaagti aankhon se humne sanihe (durgatna) dekhe
Tajub kya agar tehleez per soya hua paye
Mere nanha dil kahan tak mera rasta baitke dekhe
Ye kaise log hai "Roja" na kuch dekhe, na kuch soche
Jidhar koyee chala, sab uske peeche bhaagte dekha..
Dekh mausam bahar aaya hai

Bhu pe kitna nikhaar aaya hai

Masth jhonke hawa ke wo aate

Bin piye hii khumaar aaya hai

Mann machalne laga hai srishti ka

Ker ke kitna sringar aaya hai

Dhur gam ho gaya gamon ka bhi

Dard ko bhi karar aaya hai

Dekh "Roja", roop khudrat ka

Aaj kudrat pe pyar aaya hai

Kar gaye hum sabhi se kinara

Jab se tumne diya hai sahara

Bas yahii ilthija hai hamari

Saath dena sada tum hamara

Bath nazaron se tum keh gaye they

Hum ne samja tumhara eshara

Neend se jaag ut.the hai herdam

Chaunk ker ho na tum ne pukara

Waqt mil jaye toh dekh aakar

Kis kadar kar rahe hum guzara

Yaad aathi hai her pal tumhari

Gam satata hai herdam tumara

Shab guzarthi hai kaise hamari

Jantha hai toh bas dil hamara

Kya bataye tumhe Janemann hum

La-dawa hai marj ye hamara (La-dawa=jiski dawa na ho)

Roshni hum ko na de sakoge

Tum kisii aur ka ho sitara

Aasma.n ka karam yu hua hai

Gam hamesha rahega tumara

Maut se pehle shayad tum aaye

Isliye dham ruka hai hamara

Us gadi bhi na aa paoge tum

Jab utega janaja hamara

Darr zamane se tha gar tumhe toh

Kyu kaha tum ne ..."Mai Hu Tumara"

De rahe sab "Roja" ko kandha

Dekh lo kya haseen hai nazara

Ek nazar thi wo ki aaina bahut

Taaq per rakhi rahi meri hasti

Ab diya rehta hai sajidha bahut

Tumne bi nazron se apni chu liya

Phool tha pehle hii pakeeza bahut

Chum gayee tanha musafat pav main

Manzile oojal magar rasta bahut

Rang they ya jard shaamon ka dua

Pehran rehta hai ab theer bahut

Tha kahii wo dhurr mahwe-gufthgu (bathon main talleen)

Jilmilaya kal ye aaveja bahut

Mai kahan jeethi udaan chord kar

Ye kaho mai thi hii per-didha bahut

Yahi Ek Pal Hai

Sandya rukhi hai aakar gagan main

Uta Pav din bi rukha hai sahan main

Rukhe hai samhalkar nadhi ke kinare

Lehron ki aandhi bandhe hridaiy main

Andhere ka sagar sehma hai laiy main

Rukhe hai gagan main chand aur sitare

Rukhe hai dhara per din ke nazare..

Bhara deep dware vyatha se vikal hai

Aane ka ghar ko yahii ek pal hai..

Aangan main lali tumhe doondthi hai

Chaya tinir ki tumhe poochthi hai

Chupakar wo aasoo ye palkein uti hai

Muskaan feekhi adhar pe chipee hai

Yaadon ke badal hridaiy main ghire hai

Bijli ke bandhan main bhavar padi hai

Ghungat tumhare liye hii ruka hai

Kumkum tumhare liye hii rakha hai..

Meri dehri ka herpal vikal hai

Aane ka ghar ko yahii ek pal hai..

Nazar Her Nazar Se

Nazar her nazar se milathi rahii hu
Har kisee ko apna banathi rahii hu
Naya zakham jab bi Ujagar hua hai
Zakham her purana mitathi rahii hu
Siyahi kehar jab bi taathi rahi hai
Ujala jahan ko dikathi rahii hu
Kijao ne kitni hii koshish ki lekin
Ye gulshan mai phir bhi sajathi rahii hu
Waqt ne ki kitni jafaye magar mai
Waqt se bhi herdam nibathi rahii hu
Dard-dil hamesha satata rahaa per
Zamane ko phir bi hasathi rahii hu
Sahara kisee ne na mangi "Roja"
Mukkam apna khud mai banathi rahii hu.

Apne palkon pe mujh ko sajaye rakhoji

Karam mujh per yu hii tum banaye rakho ji..

Pyar gairon main hii yu na banto karo ji

Kuch toh mere liye bi bachaye rakho ji..

Naam kagaz pe mera likho na likho ji

Dil main mujh ko magar tum basaye rakho ji..

Baath dilon me laao juba.n per kabi ji

Raaj dil main sada ye chupaye rakho ji..

Dooriyan hai magar ilthija hai yahii ji

Yaad sene se meri lagaye rakho ji..

Ye shehar chodkar main chali jhau toh

Raah main meri aankhein bichaye rakho ji..

Hai kayale-hassi main "Roja" toh phir

Nazar her ek nazar se churaye rakho ji..

Dil Gaa Raha Nagme Tumhare

Dil ga raha hai nagme tumhare..

Jeevan main ho tum poojan main tum ho

Deepon ke jalte tann-mann main tum ho

Sandya meri tum .. mere sakare..!!

Poolon main ho tum, kaliyon main tum ho

Paathon ki gehri galiyon main tum ho

Mausam mere tum mere nazare..!!

Sapon main ho tum, sayon main tum ho

Saason ki sooni sarayon main tum ho

Dehri meri tum mere duaa.re..!!

Badal main ho tum, bijli main tum ho

Payal ki tooti kajli main tum ho

Aasu bare tum sapne kuaa.re..!!

Andheron main ho tum, ujalon main tum ho

Dard zigar ke kayalon main tum ho

Aanchal mera tum mere kinare..!!

Tuesday, April 28, 2009

Naye Saaj

Naye saaj per geet gaane laga hai
Kisi aur se dil lagane laga hai

Mere pyar mein jisne dunia bhulayi,
Suna hai mujhe woh bhulane laga hai

Arree... Haat se tum zara tham dil ko,
Jhalak se chehra apni diklane laga hai

Jalata nahi doosra aur koyi,
Tumhe dil tumhara jalane laga hai

Na gabra, "Roja", agar gam ne ghera,
Chalakta hua jaam aane laga hai..

Choote Dunia Ke Sahare

Choote dunia ke sahare gam nahi
Khoob dekhe-perkhe saare, gam nahi

Dosti ab ho gayi toofan se,
Haat na aaye kinare, gam nahi

Zindagi mein jab nahi kuch bhi raha
Maut ke baj le nagare, gam nahi

Hum sada hokar rahenge aapke sanam,
Tum nahi hove hamare, gam nahi

Deep dil ka bhuj chuka "Roja" jab,
Cheen le kismat nazare, gam nahi.

Eersha-Dhwesh

Eersha-dhwesh mitane wala koyi nahi
Sach ko gale lagane wala koyi nahi

Jalthi per sab tel chidakne wale hai
Lekin aag bhujane wala koyi nahi

Uljhi gupthi aur ulajthi jaati hai
Gupti ko suljane wala koyi nahi

Baatein jitni chaho jisse banva lo
Bigadi baat manane wala koyi nahi

Jo mehfil ki raunak they ve chale gaye
Ab yeh bajm sajane wala koyi nahi

Jo milta hai buri baat hi kehta hai
Acchi baat batane wala koyi nahi

Jo aata hai aur rulakar jaata hai
Dil ko dheer bandne wala koyi nahi

Samaj sakenge raj ko kaise hum, "Roja"
Aas-pass samjane wala koyi nahi..

Sach Koyi Kisi Ko

Sach koyi kisi ko batlata nahi,
Waise bhi yeh logon ko aata nahi

Kehna toh hai aasaan, magar fir bhi
Mushkil hai ki jubaan pe aata nahi

Poochkar humse hamara pata,
Naam tak vo apna batata nahi

Muskuraya karo apne her gamo pe
Rone walon ko koyi hasata nahi

Patharon ke shehar mein jaa toh rahe ho,
Wahan se lautkar koyi aata nahi

Doondte ho khuda kis jahan mein,
Insaan toh koyi nazar aata nahi

Pee jate hai dawa jaan ke kuch log
Merne ko zehar koyi khata nahi

Tumne Aane Mein

Tumne aane mein aakhir badi der ki

Hum toh keh kar chale they barosa nahi

Saans lene lagi thi izazat magar

Rahguzer per nazer thi lagi ki lagi

Sej-saver ker hi aana zaruri na tha

Samajte bhi nazakat kabhi waqt ki

Yaad karte huye tum ko choda hai dam

Aisi ulfat na dekhi thi humne kahi

Waqt-e-rukhsat "Roja" ye kehti rahi

Aarzoo dekhne ki unhe reh gayi

Izazat : Bidayi

Rahguzer : raah

Nazakat : Najuki

Ulfat : Mohabbat

Waqt-e-rukhsat : Dunia se jaate waqt

Pass Toh Aaye Zara

Pass Toh Aaye Zara fir Dhur Jane Ko kahe,
Aag toh de fir bhale sab kuch jalane ko kahe

Gaov ki serhad se baher aa gaye hai hum magar,
Chahta hai mann hai ki koyi laut aane ko kahe

Is lutere waqt ki ab yeh himakat dekhiye
Lootkar sapnon ki nagri muskurane ko kahe

Aaj us badal ki niyat fir lagi hai dav per,
Aag ki kyari mein jo birva lagane ko kahe

Bhook ke is daur ka tevar naya bilkul naya
Rotiyon ke saat yeh toh zeher khane ko kahe

Sunday, April 19, 2009

Mohabbat Hum Se Na Ho Gee

Mohabbat ham se na ho gee......... .
Suna hai iss mohabbat mai bohut nuksan hota hai

Mehkta jhoomta jeevan ghamoo kay naam hota hai

Suna hai chain kho kar wo sehar se sham rota hai
Mohabbat jo bhi karta hai bohut badnaam hota hai
Mohabbat ham se na ho gee......... .

Suna hai iss mohabbat mai kahin bhi dil nahi lagta
Bina us k nigahoo mai koi mosam nahi jachta

Khafa jis se mohabbat ho wo jevan bhar nahi hasta
Bohut anmol hai jo dil , ujjar kar phir nahi basta
Mohabbat ham se na ho gee.........

Monday, April 13, 2009

Tum Kisi Se Bhi Adavat Mat Karo

Tum kisi se bhi adavat mat karo
Ho na himmat toh himakat mat karo
Tap nahi vash mein tumhare hai kabhi,

Ban na paoge 'Tathagat', mat karo
Tum sada jukte rahe rukh ki taraf

Ab hawao se bagawat mat karo
Maun se hai mitrata, tum chup raho,

Baat jo laye kayamat, mat karo
'Jee Huzuri' hai samayi rakth mein,

Satya kehne ki shararat mat karo
Dharam-Bhasha kriya kare insaniyat,

Is tarah se toh siyasat mat karo
Dushmani "Roja" swayam se ho agar,

Vyarth auron ki shikayat mat karo..

Aaj Ka Mera Desh

Saadiyan kheenchi gayi hai, aadmi aahat hua hai
Is dhara per jab kahi, koyi Mahabharat hua hai..
Sabyata ki lash jag ko khoon mein doobi mili hai,

Naam ghayal zindagi ka dar hua, dehshat hua hai..
Devta geeta suna nishchit ho chup chap baite,

Bheed mein abhimanyu hi her bar shat-vishat hua hai..
Jal gaya mausam, hawayein jal gayi, jeevan jala hai

Bastiyon mein jab kahi bhi saap ka swagat hua hai
Memnon se cheen gaya adhkar jeene ka sada hi

Bediyon ka jab kisi bhi desh mein bahumat hua hai..
Jis gali jis dwar pahuncha log tukrate rahe hai,

Pyar lavaris bhatakta, bin pate ka khat hua hai..
Moolya toote, neethiyan nangi huyi chinta kise hai?

Ve sada kehte rahe jo kuch hua vidhivat hua hai..

Keh Dena

Agar sehra se guzro to mere sahir se keh dena
Tumhari besabab doori mujhe aksar rulati hai !!

Mere Sahir Se Keh Dena

Musafir Aaj Tak Chup Hai
Ke Uss Ke Haath Mein Tum Ne
Jo Apna Haath Rakha Tha
Vo Ab Tak Yaad Karti Hai

Mery Sahir Se Keh Dena

Ke Sadion Ki Musafat Ne
Mere Pairoon Se Baandhi Hai
Thakan Ab Ke Baras Itni
Ke Apni Doobti Nabzon Se
Mai Khayef Sa Rehti Hu

Na Janay Kab Kahan Pe
Umer Ki Yeh Dor Kat Jaye


Mai Apne Aur Tumhare Beech Ke In Fasloon Ko
Chand Saanson Ki Kami Se Haar Na Jaon

Bisat e Jaan Par Phaili Doorion
Ke Boj Ko Le Kar Yunhi Mar Jaau

Tumhari Be Sabab Doori Mujhe Aksar Rulati Hai
Agar Jungle Se Guzro To

Mere Jugnoo Se Keh Dena

Agar Sehra Se Guzro Toh Mere Sahir Se Keh Dena
Mery sahir Se Keh Dena...!!!

Sunday, April 12, 2009

Hamari awaaz unhe sunaye nahi deti,
Ab to door tak koi umeed bhi dikhaye nahi deti,

Hai ehsaas unhe aur sab doston ka,
Bas hamari hi tanhayee unhe dikhaye nahi deti....

Jab Us Ki Yaad Aati Hai

Jab us kii yaad aati hai to kyon mehsoos karte ho ?
Muhabbat ab satatii hai to kyon mehsoos karte ho ?
Tum un logon se hut kar bhi toh zinda reh nahi sakte
Yeh duniya dil dukhaati hai toh kyu mehsoos karte ho?
Baraste hai jo badal toh uter jata hai bojh unka
Tumhe khwahish rulaati hai toh kyu mehsoos karte ho ?
Wohi chashm-e-tasawar hai wohi hai dil ki halath bhi
Wo soorat hasker uthaati hai to kyu mehsoos karte ho ?
Kaha tha kisne rakho tum sunehre khwaab aankhon mein
Aseer-e-neend udti toh kyu mehsoos karte ho?
Usii se milti jultii hai adayein sab balaaon kii
Hawa pagal banati hai toh kyu mehsoos karte ho ?
Jise tum Chand kehte the wohi hai aankhon mein roshan
Agar shab jagmagatii hai to kyu mehsoos karte ho ?

Tumhe Dekha Nahi

Tumhay Daikha Nahi ,, Jana Nahi,,
Phir Bhi Lagta Hai,,
Qabil Ek Hai Apna……
Wohi Dard-E-Judai Hai,
Wohi Bheegi Hoyi Palkein,
Naseeba Ek Hai Apna…….
Kisi Se Kuch Nahi Kahna,,
Koi Shikwa Nahi Karna,
Kamosh Ek Hai Apna……
Kisi Ki Yaad Se,
Wirana-e-Dil Jagmaga Lena,
Khazeena Ek Hai Apna……
Yaqeen Ki Aakhri Hud Tak
Milan Ki Khushgumani Hai
Nateeja Ek Hai Apna……..
Na Umeedain Kisi Se Rakhte Toh Acha Hota ..
Aitbaar Nah Kisi Pe Karte Toh Acha Hota ..
Sabaq Daita Hai Zamana Yeh Auron Ko Girane Ka ..
Sahara Nah Kisi Ko Samjhte Toh Acha Hota ..
Yaqeen Apni Kamyabi Ka Kisi Ko Kab Hota Hai ..
Taqdeer Ke Muqabil Nah Hote Toh Acha Hota ..
Sochte Thay Aitbaar Andha Ho Ga Dewana Tum Per ..
Nah Khuwaab Jagte Main Daikhte Toh Acha Hota ..
Nah Chate Tum Kisi Ko .. Nah Koi Tumhein Poojta ..
Nah Ache Kisi Ko Lagte .. Toh Acha Hota ..
Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai Dost ..
Nah Mohabbat Kisi Se Karte Toh Acha Hota ..

Tuesday, April 7, 2009

Jo Bisate Jaan Ulat Gaya
Jo Rastay Say Palat Gaya
Ussay Roknay Say Kiya Husool
Usay Mat Bula
Usay Bhool Ja Malli……

Mere Naseeb Ki Bareshenn Kisi Aur Chat Par Baras Gaye…..
Aey Dil Be-Khabar Meri Baat Sun…
Usay Bhool Ja…
Usay Bhool Ja Malli…

Kaha Akey Rukney The Raste..
Kaha Mod Tha
Usay Bhool Ja…
Jo Mil Gaya Usay Yaad Rakh
Jo Na Mila Usay Bhool Ja Malli…

Na Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi…
Na Woh Khuwab Hi Tere Khuwab The
Yeh Kis Ke Liye Tera Jagna ???
Usay Bhool Ja….
Usay Bhool Ja Malli….
Apne saye se dur yu na hatao mujhe,Aukaad tumhari hai chahe toh mitao mujhe !!
Josh mein jawani ka khumar madhosh kar do,Bhujane pyas dil ki kareeb bhulao mujhe !!
Apne rukhsaar ko meri aur mere jaanib kar lo,Adhar ko lao kareeb nazar milao mujhe !!
Husn-e-ishq ka ankur jawa.n rahega sanam,Ho sake toh daman mein apne khilao mujhe !!
Shamm ki laiy pe na patange ko jalte dekhoChand mein daag hai kyu kisliye batao mujhe !!
Apni dhadkan mein meri saanson ko rahat bakshoHayate saaj pe tum pyar se lubao mujhe..!!

Thursday, March 26, 2009

*Jinke Haathon Mein Sooraj Hai*

Jinke haathon mein sooraj hai,
Ve nahi andheron se darte
Jo amer karne wale
Ve kabhi nahi merkar merte

Jinki bahon mein takat hai
Jin ke seene mein sahas hai
Ve beech samandar khood pade
Ve dhoonda naav nahi karte

Jo manzil ke diwane ho
Un ko manzil khud hi dhoonde
Ve manzil ke diwane kya
Jo khud manzil dhoonda karte

Unka jeena hi jeena hai
Unka merna hi merna hai
Jo auron ki khatir jeete
Jo auron ki khatir merte..

"Roja" jagat mein dekha hai
Kuch aise log bhi hote hai
Jo auron ka dukh dhur kare
Per nape ghav nahi berte.

*Kyu Aankhon Mein Aansoo Aaye?*

Kyu aankhon mein aansoo aaye?
Yeh math poocho toh accha hai
Kaise-kaise dhoke khaye?
Yeh math poocho toh accha hai..!!

Kyu upvan mein jee gabrata?
Kyu darpan se mann darta hai?
Kyu chaukate apne saye
Yeh math poocho toh accha hai..!!

Kin khayalon mein hum khoye they?
Kya apne mann mein aaya tha?
Kyu baite-baite muskaye?
Yeh math poocho toh accha hai..!!

Kyu apnon ko humne choda?
Kyu apnon se nata toda?
Kyu begane hai apnaye?
Yeh math poocho toh accha hai..!!

Jeevan ber saat nibane ki
Jo kasme khate they, "Roja"
Ve kitna saat nibha paye?
Yeh math poocho toh accha hai..!!





Pyar Tere Main Kabhi

Pyar tere mein kabhi aansoo baha leti hu mai
Aur sapon mein kabhi tujhko bhula leti hu mai.

Raah-jeevan mein andhera hai jahan lagta mujhe,
Yaad teri ke wahan deep jala leti hu mai.

Dekhkar kaali umadti gam-ghata aakash mein,
Naam tera dil se le-le kar ro leti hu mai

Jab kabhi teri kami mehsoos hoti hai mujhe,
Tab teri tasvir ko Dilse laga leti hu mai.

Noor hi bas noor ho jaata udhar , "Roja"
Naam le tera jidhar bhi pag bada leti hu mai.

Gazal

Jinke sunder vichar hote hai
Aap apna sringar hote hai

Himmat wale dhara se kitne hai
Nab se kitne udhar hote hai

Phool hote gulab mein tode,
Aur kante apaar hote hai

Meet dukh mein bane nahi koyi,
Meet sukh ke hazar hote hai

Ghav jinke kabhi nahi berta
Shabdh aisi kataar hote hai..

Gazal

Aadmi jab jawan hota hai
Woh khuda se mahan hota hai

Roop, daulat aur akkal per apni,
Her kisi ko gumaan hota hai

Pyar ki tum kiya karo pooja
Pyar ishwar samaan hota hai

Zindagi ber jo kaam karta hai,
Aadmi woh mahan hota hai

Jeb jab bhari hoti, "Roja"
Khoob aadar aur maan hota.

Gazal

Khaak usko pata khuda kya hai?
Jo nahi jaanta wafa kya hai?

Pyar tera nahi mila jisko,
Zindagi mein usse mila kya hai?

Dil na bas mein raha mera mere
Dil pe jaadu bata kiya kya hai?

Pass kuch bhi nahi raha mere
Pooch math pyar mein luta kya hai?

Jo banaya wohi bani hu mai,
Poochta hai ki tum bani kya hai?

Gazal

Kya dhara, soorya, chand, taare hai;
Waqt ke ye gulaam sare hai

Dene wala zarur devega,
Haat bekar kyu pasare hai..

Sukh bhulaye magar nahi aaye
Gam bhulaye bina padhare hai

Kya kaha, ek bar fir kehna,
Hum kisi ke nahi, tumhare hai.

Hum na bhool payenge, sanam
Saat tere jo din guzare hai..

Gazal

Aur toda kareeb ho jaata
Pyar tera naseeb ho jaata

Rang tera ajeeb jab dekhu,
Rang mera ajeeb ho jaata

Pyar tera agar mujhe milta,
Mai bada khushnaseeb ho jaata

Janta gar gareeb pyare hai,
Mai kasam se gareeb ho jaata

"Roja" Phool ek dali ke
Kyu alag hai naseeb ho jaata?