Friday, May 1, 2009

Kaise Pahunche Hai Yahan Tak


Kaise pahunche hai yahan tak tumhe andaaz nahi
Tum bi janoge jalan kya hai magar aaj nahi

Ek merghat tha jahan jalti huyee umer mili
Koyee dhadkan na kahi thi, koyee awaaz nahi

Aag ka ek safar tha, kahi pani na mila
Koyee ghar tha na jahan, pyas ka raaz nahi

Ek mruthal tha garam, pair chalon se bhare
Sir main girne ke zakham hai, ye koyee taj nahi

Besuri chav mili, besure ghav yahan
Poori basti main koyee, sur main tha saaj nahi

Sari dunia main hume, koyee apna na mila
Hum to samjhe they koyee, humse naraz nahi..

No comments:

Post a Comment