Sunday, May 17, 2009

Diwar Math Banvayiye

Raste hain raston ke beech yeh diwar math banvayiye
Phool mein kante chhipakar haar math banvayiye..

Dharm hai to dharm ko bas dharm rahne dijiye
Dharm ko pighla ke yun Talvar math banvayiye

Kuchh chahak, kuchh pyar, kuchh tazi hawa aane to do,
Kisne batlaya, ki, ghar mein dwaar math banvayiye?

Phool hain, kaliyan kahin, kuchh titliyan bhi bag main
Aag ki basti yahan har baar math banvayiye

Aadmi sab se bada us se bada kuchh bhi nahin
Aadmi ki laash par Minar math banvayiye

1 comment: