Monday, April 13, 2009

Aaj Ka Mera Desh

Saadiyan kheenchi gayi hai, aadmi aahat hua hai
Is dhara per jab kahi, koyi Mahabharat hua hai..
Sabyata ki lash jag ko khoon mein doobi mili hai,

Naam ghayal zindagi ka dar hua, dehshat hua hai..
Devta geeta suna nishchit ho chup chap baite,

Bheed mein abhimanyu hi her bar shat-vishat hua hai..
Jal gaya mausam, hawayein jal gayi, jeevan jala hai

Bastiyon mein jab kahi bhi saap ka swagat hua hai
Memnon se cheen gaya adhkar jeene ka sada hi

Bediyon ka jab kisi bhi desh mein bahumat hua hai..
Jis gali jis dwar pahuncha log tukrate rahe hai,

Pyar lavaris bhatakta, bin pate ka khat hua hai..
Moolya toote, neethiyan nangi huyi chinta kise hai?

Ve sada kehte rahe jo kuch hua vidhivat hua hai..

2 comments:

  1. उसी की मर्ज़ी बुझा दे या जला दे,
    चिराग मैंने जला के हवा पे छोड़ दिया,

    ReplyDelete
  2. Thanks Raj ji aapne hame pada

    ReplyDelete