Friday, May 1, 2009

Na koyi pervaaz hai baki
Ab na teri aawaz hai baki

Maine apni saari hadein paar ker li
Koyi anjaam hai na aagaaz hai baki

Dunia ne usse supoorde khaak kiya,
Aaj bhi uske merne ka raaz baki hai

Saari aafaton se sambal aayi hu
Girni hai jo wo gaaz hai baki

Sabhi ne apne-apne huner dikhaye
Dunia se juda mere andaaz hai baki

"Roja", uski wafa pe aitbaar na kar
Jiske seene mein Naz hai Baki..

5 comments:

  1. Sabhi ne apne-apne huner dikhaye
    Dunia se juda mere andaaz hai baki
    Aapne bahut khub likha hai Ji.

    abhi to parwaaz ka hai mausam,
    nayi fizayen hain mast aalam,
    parinden apne gharon me jaanib,
    jo laut aaye tum laut aana....
    badal na jaaye kahin sama ,
    guzar na jaaye hasin lamha,
    k shaaken ja pe khila gulaab,
    to kasam tumhe k tu laut aana...
    ======

    ReplyDelete
  2. aapne bahut he achcha likha hai. hats off 2 u

    ReplyDelete
  3. HAR GAZAL AAPKI BAHUT KHUB HAI.

    ReplyDelete
  4. खुसबू से भरी शाम मैं जुगनू के कलम से,
    इक नज़्म तेरे वास्ते लिखेंगे किसी दिन,


    सोयेगे तेरी आँख की खुलावत मैं किसी रात,
    साए में तेरी जुल्फ के प्रियराज जागेंगे किसी दिन .......

    ReplyDelete
  5. Maine apni saari hadein paar ker li
    Koyi anjaam hai na aagaaz hai baki


    bahot badii baat kahi hai Roja ji

    accha laga aapka blog dekhkar

    ReplyDelete