Thursday, April 30, 2009
Jab Kabhi Bi Yaad
Zindagi main chandni-si cha gaya
Aaj bhi unki mehak jeevan main hai
Pyar ki madira jo tumne chalka gaya
Ker gaya rangeen jeevan roop se
Pyar se tum zindagi mera mehka gaya
Zindagi main phir ujala ho gaya
Zindagi main jaan hai phir aa gaya
Tumko paa ke zindagi phir jee uti
Zindagi phir tum se jeevan paa gaya
Pyar se Jag
Pyar se ab bolna aata nahi
Aaj dhan-daulat pe dil dete sabhi
Pyar per dil dena ab aata nahi
Ab sabhi hai geet-gazale bechte
Dil ki kathir koyee ab gata nahi
Zindagi bhi ho gayee hai mol ki
Pyar bin paise ke mil pata nahi
Jane kya "Roja".., dunia ko hua
Aadmi ko aadmi bhata nahi
Ek toh aapka awaaz aayegi
Aapka kahi huyi her baat yaad aayegi
Din dal jayega raat yaad aayegi
Her lamha hamari pehli mulakat yaad aayegi
Kabhi haste huwe, kabhi rutey huwe, kabhi muskurate huwe
Ye zindagi tere bin bhi kat jayegi
Par kuch kami is main bhi reh jayegi
Mere Dil ko tadpayegi, tarsayegi..
Her lamha sanam teri yaad aayegi..
Yaad Aayegi ..
Hamein jante hai haqeekat hamari
Bata de tumhe hum, agar poochte ho
Tumhi jaan ho, tum ho jannat hamari
Yakeen tum ko kaise dilaye bata do
Tumhi toh sanam ho ebadat hamari
Tumhe kya kabhar kis kadar jee rahein hai
Hamesha tadapti hai hasrat hamari
Agar joh na hota tumhe pyar hum se
Na karte hamee se shikayat hamari
Magar phir bhi tum yaad karna na hum ko
Jara gaur karna hidayat hamari
Safar zindagi ka tumhe ho mubarak
Hai mer mer ke jeena toh aadat hamari
Kabhi kaam tere agar aa sake toh
Karam ho khuda ka, ho kismat hamari
Duwaye "Roja" tumhe aur kya de
Salamat raho tum, hai hasrat hamari
Woh mujhe chahe, ya miljaye zaruri toh nahi
Yeh kuch kam hai kya basse hai meri saanson main
Woh samne ho meri aankhon ke zaruri toh nahi
Jaan kurbaan meri, uski her muskurahat pe
Chahat ka takaza hai yehi, Aqal-e-Khurori toh nahi
Ab toh nikalke aankhon se yaadon main jha base hai woh
Yahi hai qurbat-e-chahat, koyee doori toh nahi
Kyu sulakthi hai apne aapko, Aye.. Roja
Dil be tera Jaan bi tera, koyee tandoori toh nahi
Tum Sa Koyi Nahi
Phool khilte hai, per unki khushboo aap se hai
Dhoop nikalthi hai, uska ehsaas aap se hai
Tare chamakte hai, par unki chamak aap se hai
Nadiya behti hai, par unki athkheliya aap se hai
Chand main thandak aap se hai,
Suraj main agan aapse hai
Saaj main tarang aap se hai, geeton main bol aap se hai
Prakrithi sari khoobsurati aap se hai sanam
Toh aap se khoobsurat kaise koyee aur sanam hoga?
Mera koyee need nahi hai koyee saath nahi mere
Dukh bana hai meri chaya rehta mujhko herdham ghere
Is chaya ka saath nibane aasoo ka aadhar chahiye
Mai hu ek akela rahi mujhe kisi ka pyar chahiye..!!
Jeevan ki hu ek kahani bin likhe jo likhi gaye
Sheershaq jiska mila na dhoonde kadi-kadi se toot gaye
Likhi kahani poori kar de bhasha woh uphaar chahiye
Mai hu ek akela rahi mujhe kisii ka pyar chahiye..!!
Andhkar main path naapa hai kho jana hai manzil meri
Is dunia ko samjha maine nirdhan ki nirdhan deri
Darta hai mann keh dene se mujhe kisii ka dwaar chahiye
Mai hu ek akela rahi mujhe kisi ka pyar chahiye..!!
Dagar-dagar mehmaan bani mai ab mujhko aaraam chahiye
Path ka parichai kaise de du wahan kisii ka naam chahiye
Shoolon kil bhi bhare phool se ghandbari woh daar chahiye
Mai hu ek akela rahi mujhe kisi ka pyar chahiye..!!
Chale Aao
Mulakat ki ye ghadi tal na jaye
Nazron ko jata de machalna na yu bhi
Kahi bhool se raaj ye khul na jaye
Kisi se na karna kabi bath meri
Zamana ye zalim kahi jal na jaye
Tumhari kasam mai tumhe chahthi hu
Kisii ko magar pyar ye khal na jaye
Mile saath tera yahi aarzoo hai
Magar Zindagi ye hu hi dal na jaye
Agar chahte ho toh dil main basalo mujhe
Patha ye kisii ko magar chal na jaye
Ye sach hai "Roja" tumhari hii hai par
Kahi ishq ki aag main jal na jaye.
Kuch aisa hadsa dekha
Hum hi zinda rahe, koyee hamare hosle dekhe
Andhere main nikalna aur gayee shaab(raat) lautkar aana
Kisse fursat ki ab bachchon ko haste-khelte dekhe
Kisii ne khwaab ke perde main dekhe nahi honge
Jo apni jaagti aankhon se humne sanihe (durgatna) dekhe
Tajub kya agar tehleez per soya hua paye
Mere nanha dil kahan tak mera rasta baitke dekhe
Ye kaise log hai "Roja" na kuch dekhe, na kuch soche
Jidhar koyee chala, sab uske peeche bhaagte dekha..
Kar gaye hum sabhi se kinara
Jab se tumne diya hai sahara
Bas yahii ilthija hai hamari
Saath dena sada tum hamara
Bath nazaron se tum keh gaye they
Hum ne samja tumhara eshara
Neend se jaag ut.the hai herdam
Chaunk ker ho na tum ne pukara
Waqt mil jaye toh dekh aakar
Kis kadar kar rahe hum guzara
Yaad aathi hai her pal tumhari
Gam satata hai herdam tumara
Shab guzarthi hai kaise hamari
Jantha hai toh bas dil hamara
Kya bataye tumhe Janemann hum
La-dawa hai marj ye hamara (La-dawa=jiski dawa na ho)
Roshni hum ko na de sakoge
Tum kisii aur ka ho sitara
Aasma.n ka karam yu hua hai
Gam hamesha rahega tumara
Maut se pehle shayad tum aaye
Isliye dham ruka hai hamara
Us gadi bhi na aa paoge tum
Jab utega janaja hamara
Darr zamane se tha gar tumhe toh
Kyu kaha tum ne ..."Mai Hu Tumara"
De rahe sab "Roja" ko kandha
Dekh lo kya haseen hai nazara
Ek nazar thi wo ki aaina bahut
Taaq per rakhi rahi meri hasti
Ab diya rehta hai sajidha bahut
Tumne bi nazron se apni chu liya
Phool tha pehle hii pakeeza bahut
Chum gayee tanha musafat pav main
Manzile oojal magar rasta bahut
Rang they ya jard shaamon ka dua
Pehran rehta hai ab theer bahut
Tha kahii wo dhurr mahwe-gufthgu (bathon main talleen)
Jilmilaya kal ye aaveja bahut
Mai kahan jeethi udaan chord kar
Ye kaho mai thi hii per-didha bahut
Yahi Ek Pal Hai
Sandya rukhi hai aakar gagan main
Uta Pav din bi rukha hai sahan main
Rukhe hai samhalkar nadhi ke kinare
Lehron ki aandhi bandhe hridaiy main
Andhere ka sagar sehma hai laiy main
Rukhe hai gagan main chand aur sitare
Rukhe hai dhara per din ke nazare..
Bhara deep dware vyatha se vikal hai
Aane ka ghar ko yahii ek pal hai..
Aangan main lali tumhe doondthi hai
Chaya tinir ki tumhe poochthi hai
Chupakar wo aasoo ye palkein uti hai
Muskaan feekhi adhar pe chipee hai
Yaadon ke badal hridaiy main ghire hai
Bijli ke bandhan main bhavar padi hai
Ghungat tumhare liye hii ruka hai
Kumkum tumhare liye hii rakha hai..
Meri dehri ka herpal vikal hai
Aane ka ghar ko yahii ek pal hai..
Nazar Her Nazar Se
Apne palkon pe mujh ko sajaye rakhoji
Karam mujh per yu hii tum banaye rakho ji..
Pyar gairon main hii yu na banto karo ji
Kuch toh mere liye bi bachaye rakho ji..
Naam kagaz pe mera likho na likho ji
Dil main mujh ko magar tum basaye rakho ji..
Baath dilon me laao juba.n per kabi ji
Raaj dil main sada ye chupaye rakho ji..
Dooriyan hai magar ilthija hai yahii ji
Yaad sene se meri lagaye rakho ji..
Ye shehar chodkar main chali jhau toh
Raah main meri aankhein bichaye rakho ji..
Hai kayale-hassi main "Roja" toh phir
Nazar her ek nazar se churaye rakho ji..
Dil Gaa Raha Nagme Tumhare
Dil ga raha hai nagme tumhare..
Jeevan main ho tum poojan main tum ho
Deepon ke jalte tann-mann main tum ho
Sandya meri tum .. mere sakare..!!
Poolon main ho tum, kaliyon main tum ho
Paathon ki gehri galiyon main tum ho
Mausam mere tum mere nazare..!!
Sapon main ho tum, sayon main tum ho
Saason ki sooni sarayon main tum ho
Dehri meri tum mere duaa.re..!!
Badal main ho tum, bijli main tum ho
Payal ki tooti kajli main tum ho
Aasu bare tum sapne kuaa.re..!!
Andheron main ho tum, ujalon main tum ho
Dard zigar ke kayalon main tum ho
Aanchal mera tum mere kinare..!!
Tuesday, April 28, 2009
Naye Saaj
Kisi aur se dil lagane laga hai
Mere pyar mein jisne dunia bhulayi,
Suna hai mujhe woh bhulane laga hai
Arree... Haat se tum zara tham dil ko,
Jhalak se chehra apni diklane laga hai
Jalata nahi doosra aur koyi,
Tumhe dil tumhara jalane laga hai
Na gabra, "Roja", agar gam ne ghera,
Chalakta hua jaam aane laga hai..
Choote Dunia Ke Sahare
Khoob dekhe-perkhe saare, gam nahi
Dosti ab ho gayi toofan se,
Haat na aaye kinare, gam nahi
Zindagi mein jab nahi kuch bhi raha
Maut ke baj le nagare, gam nahi
Hum sada hokar rahenge aapke sanam,
Tum nahi hove hamare, gam nahi
Deep dil ka bhuj chuka "Roja" jab,
Cheen le kismat nazare, gam nahi.
Eersha-Dhwesh
Sach ko gale lagane wala koyi nahi
Jalthi per sab tel chidakne wale hai
Lekin aag bhujane wala koyi nahi
Uljhi gupthi aur ulajthi jaati hai
Gupti ko suljane wala koyi nahi
Baatein jitni chaho jisse banva lo
Bigadi baat manane wala koyi nahi
Jo mehfil ki raunak they ve chale gaye
Ab yeh bajm sajane wala koyi nahi
Jo milta hai buri baat hi kehta hai
Acchi baat batane wala koyi nahi
Jo aata hai aur rulakar jaata hai
Dil ko dheer bandne wala koyi nahi
Samaj sakenge raj ko kaise hum, "Roja"
Aas-pass samjane wala koyi nahi..
Sach Koyi Kisi Ko
Waise bhi yeh logon ko aata nahi
Kehna toh hai aasaan, magar fir bhi
Mushkil hai ki jubaan pe aata nahi
Poochkar humse hamara pata,
Naam tak vo apna batata nahi
Muskuraya karo apne her gamo pe
Rone walon ko koyi hasata nahi
Patharon ke shehar mein jaa toh rahe ho,
Wahan se lautkar koyi aata nahi
Doondte ho khuda kis jahan mein,
Insaan toh koyi nazar aata nahi
Pee jate hai dawa jaan ke kuch log
Merne ko zehar koyi khata nahi
Tumne Aane Mein
Tumne aane mein aakhir badi der ki
Hum toh keh kar chale they barosa nahi
Saans lene lagi thi izazat magar
Rahguzer per nazer thi lagi ki lagi
Sej-saver ker hi aana zaruri na tha
Samajte bhi nazakat kabhi waqt ki
Yaad karte huye tum ko choda hai dam
Aisi ulfat na dekhi thi humne kahi
Waqt-e-rukhsat "Roja" ye kehti rahi
Aarzoo dekhne ki unhe reh gayi
Izazat : Bidayi
Rahguzer : raah
Nazakat : Najuki
Ulfat : Mohabbat
Waqt-e-rukhsat : Dunia se jaate waqt
Pass Toh Aaye Zara
Aag toh de fir bhale sab kuch jalane ko kahe
Gaov ki serhad se baher aa gaye hai hum magar,
Chahta hai mann hai ki koyi laut aane ko kahe
Is lutere waqt ki ab yeh himakat dekhiye
Lootkar sapnon ki nagri muskurane ko kahe
Aaj us badal ki niyat fir lagi hai dav per,
Aag ki kyari mein jo birva lagane ko kahe
Bhook ke is daur ka tevar naya bilkul naya
Rotiyon ke saat yeh toh zeher khane ko kahe
Sunday, April 19, 2009
Mohabbat Hum Se Na Ho Gee
Suna hai iss mohabbat mai bohut nuksan hota hai
Mehkta jhoomta jeevan ghamoo kay naam hota hai
Suna hai chain kho kar wo sehar se sham rota hai
Mohabbat jo bhi karta hai bohut badnaam hota hai
Mohabbat ham se na ho gee......... .
Suna hai iss mohabbat mai kahin bhi dil nahi lagta
Bina us k nigahoo mai koi mosam nahi jachta
Khafa jis se mohabbat ho wo jevan bhar nahi hasta
Bohut anmol hai jo dil , ujjar kar phir nahi basta
Mohabbat ham se na ho gee.........
Monday, April 13, 2009
Tum Kisi Se Bhi Adavat Mat Karo
Ho na himmat toh himakat mat karo
Tap nahi vash mein tumhare hai kabhi,
Ban na paoge 'Tathagat', mat karo
Tum sada jukte rahe rukh ki taraf
Ab hawao se bagawat mat karo
Maun se hai mitrata, tum chup raho,
Baat jo laye kayamat, mat karo
'Jee Huzuri' hai samayi rakth mein,
Satya kehne ki shararat mat karo
Dharam-Bhasha kriya kare insaniyat,
Is tarah se toh siyasat mat karo
Dushmani "Roja" swayam se ho agar,
Vyarth auron ki shikayat mat karo..
Aaj Ka Mera Desh
Is dhara per jab kahi, koyi Mahabharat hua hai..
Sabyata ki lash jag ko khoon mein doobi mili hai,
Naam ghayal zindagi ka dar hua, dehshat hua hai..
Devta geeta suna nishchit ho chup chap baite,
Bheed mein abhimanyu hi her bar shat-vishat hua hai..
Jal gaya mausam, hawayein jal gayi, jeevan jala hai
Bastiyon mein jab kahi bhi saap ka swagat hua hai
Memnon se cheen gaya adhkar jeene ka sada hi
Bediyon ka jab kisi bhi desh mein bahumat hua hai..
Jis gali jis dwar pahuncha log tukrate rahe hai,
Pyar lavaris bhatakta, bin pate ka khat hua hai..
Moolya toote, neethiyan nangi huyi chinta kise hai?
Ve sada kehte rahe jo kuch hua vidhivat hua hai..
Keh Dena
Tumhari besabab doori mujhe aksar rulati hai !!
Mere Sahir Se Keh Dena
Musafir Aaj Tak Chup Hai
Ke Uss Ke Haath Mein Tum Ne
Jo Apna Haath Rakha Tha
Vo Ab Tak Yaad Karti Hai
Mery Sahir Se Keh Dena
Ke Sadion Ki Musafat Ne
Mere Pairoon Se Baandhi Hai
Thakan Ab Ke Baras Itni
Ke Apni Doobti Nabzon Se
Mai Khayef Sa Rehti Hu
Na Janay Kab Kahan Pe
Umer Ki Yeh Dor Kat Jaye
Mai Apne Aur Tumhare Beech Ke In Fasloon Ko
Chand Saanson Ki Kami Se Haar Na Jaon
Bisat e Jaan Par Phaili Doorion
Ke Boj Ko Le Kar Yunhi Mar Jaau
Tumhari Be Sabab Doori Mujhe Aksar Rulati Hai
Agar Jungle Se Guzro To
Mere Jugnoo Se Keh Dena
Agar Sehra Se Guzro Toh Mere Sahir Se Keh Dena
Mery sahir Se Keh Dena...!!!
Sunday, April 12, 2009
Jab Us Ki Yaad Aati Hai
Muhabbat ab satatii hai to kyon mehsoos karte ho ?
Tum un logon se hut kar bhi toh zinda reh nahi sakte
Yeh duniya dil dukhaati hai toh kyu mehsoos karte ho?
Baraste hai jo badal toh uter jata hai bojh unka
Tumhe khwahish rulaati hai toh kyu mehsoos karte ho ?
Wohi chashm-e-tasawar hai wohi hai dil ki halath bhi
Wo soorat hasker uthaati hai to kyu mehsoos karte ho ?
Kaha tha kisne rakho tum sunehre khwaab aankhon mein
Aseer-e-neend udti toh kyu mehsoos karte ho?
Usii se milti jultii hai adayein sab balaaon kii
Hawa pagal banati hai toh kyu mehsoos karte ho ?
Jise tum Chand kehte the wohi hai aankhon mein roshan
Agar shab jagmagatii hai to kyu mehsoos karte ho ?
Tumhe Dekha Nahi
Phir Bhi Lagta Hai,,
Qabil Ek Hai Apna……
Wohi Dard-E-Judai Hai,
Wohi Bheegi Hoyi Palkein,
Naseeba Ek Hai Apna…….
Kisi Se Kuch Nahi Kahna,,
Koi Shikwa Nahi Karna,
Kamosh Ek Hai Apna……
Kisi Ki Yaad Se,
Wirana-e-Dil Jagmaga Lena,
Khazeena Ek Hai Apna……
Yaqeen Ki Aakhri Hud Tak
Milan Ki Khushgumani Hai
Nateeja Ek Hai Apna……..
Aitbaar Nah Kisi Pe Karte Toh Acha Hota ..
Sabaq Daita Hai Zamana Yeh Auron Ko Girane Ka ..
Sahara Nah Kisi Ko Samjhte Toh Acha Hota ..
Yaqeen Apni Kamyabi Ka Kisi Ko Kab Hota Hai ..
Taqdeer Ke Muqabil Nah Hote Toh Acha Hota ..
Sochte Thay Aitbaar Andha Ho Ga Dewana Tum Per ..
Nah Khuwaab Jagte Main Daikhte Toh Acha Hota ..
Nah Chate Tum Kisi Ko .. Nah Koi Tumhein Poojta ..
Nah Ache Kisi Ko Lagte .. Toh Acha Hota ..
Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai Dost ..
Nah Mohabbat Kisi Se Karte Toh Acha Hota ..
Tuesday, April 7, 2009
Jo Rastay Say Palat Gaya
Ussay Roknay Say Kiya Husool
Usay Mat Bula
Usay Bhool Ja Malli……
Mere Naseeb Ki Bareshenn Kisi Aur Chat Par Baras Gaye…..
Aey Dil Be-Khabar Meri Baat Sun…
Usay Bhool Ja…
Usay Bhool Ja Malli…
Kaha Akey Rukney The Raste..
Kaha Mod Tha
Usay Bhool Ja…
Jo Mil Gaya Usay Yaad Rakh
Jo Na Mila Usay Bhool Ja Malli…
Na Woh Aankh Hi Teri Aankh Thi…
Na Woh Khuwab Hi Tere Khuwab The
Yeh Kis Ke Liye Tera Jagna ???
Usay Bhool Ja….
Usay Bhool Ja Malli….
Josh mein jawani ka khumar madhosh kar do,Bhujane pyas dil ki kareeb bhulao mujhe !!
Apne rukhsaar ko meri aur mere jaanib kar lo,Adhar ko lao kareeb nazar milao mujhe !!
Husn-e-ishq ka ankur jawa.n rahega sanam,Ho sake toh daman mein apne khilao mujhe !!
Shamm ki laiy pe na patange ko jalte dekhoChand mein daag hai kyu kisliye batao mujhe !!
Apni dhadkan mein meri saanson ko rahat bakshoHayate saaj pe tum pyar se lubao mujhe..!!