Thursday, March 26, 2009

*Jinke Haathon Mein Sooraj Hai*

Jinke haathon mein sooraj hai,
Ve nahi andheron se darte
Jo amer karne wale
Ve kabhi nahi merkar merte

Jinki bahon mein takat hai
Jin ke seene mein sahas hai
Ve beech samandar khood pade
Ve dhoonda naav nahi karte

Jo manzil ke diwane ho
Un ko manzil khud hi dhoonde
Ve manzil ke diwane kya
Jo khud manzil dhoonda karte

Unka jeena hi jeena hai
Unka merna hi merna hai
Jo auron ki khatir jeete
Jo auron ki khatir merte..

"Roja" jagat mein dekha hai
Kuch aise log bhi hote hai
Jo auron ka dukh dhur kare
Per nape ghav nahi berte.

*Kyu Aankhon Mein Aansoo Aaye?*

Kyu aankhon mein aansoo aaye?
Yeh math poocho toh accha hai
Kaise-kaise dhoke khaye?
Yeh math poocho toh accha hai..!!

Kyu upvan mein jee gabrata?
Kyu darpan se mann darta hai?
Kyu chaukate apne saye
Yeh math poocho toh accha hai..!!

Kin khayalon mein hum khoye they?
Kya apne mann mein aaya tha?
Kyu baite-baite muskaye?
Yeh math poocho toh accha hai..!!

Kyu apnon ko humne choda?
Kyu apnon se nata toda?
Kyu begane hai apnaye?
Yeh math poocho toh accha hai..!!

Jeevan ber saat nibane ki
Jo kasme khate they, "Roja"
Ve kitna saat nibha paye?
Yeh math poocho toh accha hai..!!





Pyar Tere Main Kabhi

Pyar tere mein kabhi aansoo baha leti hu mai
Aur sapon mein kabhi tujhko bhula leti hu mai.

Raah-jeevan mein andhera hai jahan lagta mujhe,
Yaad teri ke wahan deep jala leti hu mai.

Dekhkar kaali umadti gam-ghata aakash mein,
Naam tera dil se le-le kar ro leti hu mai

Jab kabhi teri kami mehsoos hoti hai mujhe,
Tab teri tasvir ko Dilse laga leti hu mai.

Noor hi bas noor ho jaata udhar , "Roja"
Naam le tera jidhar bhi pag bada leti hu mai.

Gazal

Jinke sunder vichar hote hai
Aap apna sringar hote hai

Himmat wale dhara se kitne hai
Nab se kitne udhar hote hai

Phool hote gulab mein tode,
Aur kante apaar hote hai

Meet dukh mein bane nahi koyi,
Meet sukh ke hazar hote hai

Ghav jinke kabhi nahi berta
Shabdh aisi kataar hote hai..

Gazal

Aadmi jab jawan hota hai
Woh khuda se mahan hota hai

Roop, daulat aur akkal per apni,
Her kisi ko gumaan hota hai

Pyar ki tum kiya karo pooja
Pyar ishwar samaan hota hai

Zindagi ber jo kaam karta hai,
Aadmi woh mahan hota hai

Jeb jab bhari hoti, "Roja"
Khoob aadar aur maan hota.

Gazal

Khaak usko pata khuda kya hai?
Jo nahi jaanta wafa kya hai?

Pyar tera nahi mila jisko,
Zindagi mein usse mila kya hai?

Dil na bas mein raha mera mere
Dil pe jaadu bata kiya kya hai?

Pass kuch bhi nahi raha mere
Pooch math pyar mein luta kya hai?

Jo banaya wohi bani hu mai,
Poochta hai ki tum bani kya hai?

Gazal

Kya dhara, soorya, chand, taare hai;
Waqt ke ye gulaam sare hai

Dene wala zarur devega,
Haat bekar kyu pasare hai..

Sukh bhulaye magar nahi aaye
Gam bhulaye bina padhare hai

Kya kaha, ek bar fir kehna,
Hum kisi ke nahi, tumhare hai.

Hum na bhool payenge, sanam
Saat tere jo din guzare hai..

Gazal

Aur toda kareeb ho jaata
Pyar tera naseeb ho jaata

Rang tera ajeeb jab dekhu,
Rang mera ajeeb ho jaata

Pyar tera agar mujhe milta,
Mai bada khushnaseeb ho jaata

Janta gar gareeb pyare hai,
Mai kasam se gareeb ho jaata

"Roja" Phool ek dali ke
Kyu alag hai naseeb ho jaata?